TARA!!:-)

Sab se pehle mujhe uska naam janna tha. maine socha mein Sir se hi puch leta hu unhe malom hoga. jab main cabin ke paas pahuncha toh wo dono wahi par thi. aur bahar aane wali thi. unhe dekh kar mein foran thoda sa aage badh gaya take unhe ye na lage ke mein unki baatein chup kar sun raha tha.

Unke jaane ke baad mein Sir ke cabin mein gaya aur maine unse pucha ke "Sir unka naam kya hai?"

" sorry beta, mera inke saath zyada interaction nahi hai is liye main nahi janta."

"ooh! it's ok Sir"

"aap unlogoun se hi puch lo beta"

" ok, thank you Sir"

Itne mein agle lecture ki bell baj gayi. main class main gaya aaur piche baith gaya. itne mein wo bhi aai apni usi dost ke saath jise aaj ladke preshan kar rahe the. thodi der unho ne baat ki aur fir uski dost meri taraf aane lagi. aakar usne kaha "thank you"

"Kis liye thanks?"

"Police ko call karne ke liye"

"Your most welcome, by the way aapka naam?"

"oh ha, hey i am Sara"

"Nice name, aur...aapki dost ka naam?"

"Her name is 'TARA' "

"oh, maine bahut hi khushi se Sara ki taraf dekha. aur aage jakar kuch misunderstandings na ho jae is liye maine Sara ko kaha ke "TARA ko zara sorry boldena, dar asal us waqt usne mujhse wo baat puchi thi main zara jaldi mein tha is liye main foran waha se chala aaya.

"Tum khud kyun nahi boldete?"

"Nahi aap boldoge na..thanks"

"ok, bye then"

"bye"

Usi waqt meri nazar Tara par padi toh wo humdono ko tirchhi nigahoun se (Ghur kar) dekh rahi thi. Sara ke jaane ke baad wo log kuch baatein krne lage itne mein teacher aagaye.