KAHA GAYI TARA?

Dabba dekar jab wo chali gayi tab mujhe bahut khushi hui. ke use meri itni fikar hai. maine jab uski taraf dekha toh dur baith kar wo mujhe hi drkh rahi thi main dabbe ko dekhne laga. aur fir uski khushi ke liye dabba maine kha liya aur wo mujhe dur baithe dekhti rahi. khane ke baad main dabba uske paas lekar gaya aur kaha..

" Thank you for this "

"My pleasure, fir bhuk lage toh bina jhijhak boldena "

" Ha zarur "

Usne haste hue kaha aur chali gayi. der raat ho chuki thi aur itni raat mein dobara jaana achha nahi tha. aur hum jungle ke bich mein bhi the is liye sab ne apne apne tents wahi laga liye. meri nazar jab Tara par padi toh maine dekha ke wo is khubsurat nazaare ki tasveerein le rahi thi. maine muskurate hue kuch der use dekha tabhi Amaan mujhe bulane aagaya..

"chal bhai sona nahi hai kya,yaha kya kar raha hai?"

"kuch nahi, tu chal main abhi aata hun"

Maine hath pair dhoe aur sone jane hi wala tha ke itne mein mari nazar Sara par padi wo bahut preshan dikh rahi thi is liye maine uske paas jakar pucha..

"kya hua Sara, itni preshan kyu lag rahi ho?"

"Tara kahi mil nahi rahi hai, pata nahi kaha gayi, maine sabse pucha wo kisi ke paas bhi nahi hai"

"Maine use dekha tha us taraf jaate hue, tum yahi ruko main use dhund kar aata hun"

"thank you sidharth"