TARA KA CHEHRA

Jab mein sokar utha toh dekha ke Tara dobara se so gayi thi. Aur Sara bi usi ke bagal mein so rahi thi. Bus mein kaafi log jag chuke the aur bahut log raaste mein utar bhi rahe the toh main bhi sir se puch kar meri ghar ki taraf utar gaya. Jana toh mein college tak chahta tha lekin fir mujhe dekh kar Sara use chidhati aur use uncomfortable mehsos hita mere samne is liye main Amaan se keh kar utar gaya.

Jab ghar pahuncha toh ammi ne mujhe baithaya aur khane pine ko diya. Main khane ke baad apne bistar par jakar so gaya.

Humein 3-4 dino ki chutti mili hui thi kyunki sab bahut thak chuke the itne lambe safar ke baad. Mera maan ghar mein nahi lag raha tha tih mein apne dostoun se milne chala gaya. waha Sara bhi aone dostoun ke sath aai hui thi. Usne mujhe dekha toh maine usse hey kaha aur aone dostoun se baat karne laga. Dostoun ko bhook lagi hui thi toh wo khane ke liye lene gaye hue the aur mein wahi garden mein baitha hua tha. Tabhi maine suna ke Sara aur uske dost Tara ke ghar jane ka plan kar rahe hai. Maine socha ye achha mauka hai. Kam se kam Tara ko dekh toh lunga.

Main unke nazdik gaya aur Sara se pucha "Sara tumhe kuch chahiye khane ke liye, mere dost gaye hai hotel mein lene?". "Nahi nahi, hum bas abhi Tara ke ghar jarahe hai" "oh" maine kaha aur wahi chupchap khada raha, tih Sara ne pucha "Tum bhi chaloge Tara ke ghar" maine foran ha keh diya.