MAIN AUR TARA!

Hum sab khushi khushi haste bolte hue baat kar hi rahe the tabhi Sara ki dost ka phone aaya. usne phone receive kiya toh pata chala uski mummy ki tabiyt bahut kharab ho gayi hai aur. Uski dost foran apne ghar ke liye Sara ko bhi lekar nikal gayi.

Ab ghar mein sirf main aur Tara hi the, maine bhi socha main bhi chlata hu aur darwaaze par pahuncha tabhi Tara ne rolte hue kaha " Sid tum yahi khana khakar jao, waise bhi tumhare mummy daddy ghar par nahi hai"

"Nahi jane dijiye main bahar hotel main kha lunga" maine kaha

"Arey main bol rahi hu na tum aae ho toh ab kha kar hi jao, main bass abhi bana deti hu khana.. bas aadha ghanta lagega" aur bolte hue Tara kitchen main khana bnane chali gayi.

Main bhi uske piche piche kitchen ke darwaaze par jakar khada ho gaya toh kya dekhta hu, kitchen main kuch banane ko nahi hai aur Tara yaha waha saman dhund rahi hai. tabhi wo poche mudi aur mujhe waha khada hua dekh kar hasne lagi toh maine kaha "Ky hua kuch hai nahi kya banane ko, main bol raha tha ke main khalunga hotel mein!"

"Hehe, sorry mujhe yaad nahi tha" usne haste hue kaha. toh maine use kaha "Achha bataiye kya lana hai main abhi lekar aata hu"

"Toh tum yahi kahoge? apne dostoun ke paas nahi ja rahe ho?" usne mujhse pucha. toh maine kaha "Main toh chala jaunga, lekin jab aapke ghar mein banane ko kuch hai nahi toh aap kya khaoge? is liye do main lete aata hu"