Akash room mai jata hai wo so chuki hoti hai..
Akash dheere se uske pass jata h..
or phir Divya ke hatho pe lgi mehndi ko dekhne lgta h jismai uska name likha hota hai..
wo dhire se usko awaz lgata hai lkin Divya gehri neend mai hoti h..
phir Divya ki ankh khulti h wo dekhti h ki aakash usi ko dekh rha hota h..
Divya - wo k..kkyyaa hua apko kuch chahiye kya..
aakash- naa..naahi..wo. woo ma ne kaha tha ki tumne kuch khaya ni h to tumko khana khila du..
Divya- are ni ap thake huye aye hai mai kha lungi ap change kr lijiye..
aakash- tumhare hatho pe to mehndi lagi hui hai kaise khaogi tum apne ap .
Divya apni mehndi ki taraf dekhte huye are koi ni ab der ho gyi h mehndi lge huye..
aakash- sofe ke side wali chair Divya ke pass khichta hai or uske pass baith jata hai..
Divya ka dhyan apni mehndi mai hota hai..
aakash- kyu mere hath se khana khane mai koi dikkat hai kya??
Divya ekdum se aakash ko dekhti hai dono 1 mint tak eyelock share krte hai..
knok knok..
eyelock break hota hai..
maid khana leke ayi hoti hai..
khana table pe rakh ke chali jati hai..
aakash- tumne bataya ni..
divya- kuch bolti ni hai.
aakash- samne rakhi plate uthata hai or usko khana khilane wala hi hota hai.
divya- rukiye??
aakash- ab kya hua??(smirk krte huye)
divya- pehle ap khaiye kehkr niche dekhne lgti hai..
aakash- hasta hai phir khud khata hai then usko khilata hai..
khana khate aakash Divya ko chedne ke propose se bolta hai..pta nahi wo din kab ayega..
Divya usko confused look se dekhti hai..
Divya- kuch kaha apne..( Divya jaan kr unsuna krti h aakash ki baat ko)
aakash- ha m yehi soch rha tha ki wo din kab ayega jab koi mujhe khana khilayega..(shaitani wale mood mai)
Divya ko ekdum khasi ane lgti hai..aakash usko pani deta h or bolta h kya hua..
divya- kuch ni bs aise hi..
aakash- Divya dekho gabraya mat kro mai to bs maazak krta rehta hu jissee tumhare chehre pe hasi la saku..tumhara to pta nahi lakin meri taraf se mai is rishte mai puri tarha se rehna chahta hu or hum dono ke sath bitaye hr ek pal ko jeena chahta hu.