mehez 15 saal ki thi me jab Maanav se mulaqat hui thi meri tab wo 21 saal k teenager the.
Hmare bich ka umra fasla hi hmare sath waqt guzarne k liye sahayak bna tha.
Papa k dost ka beta hmare ghar rehne aya tha... uski post graduation suru honi thi or clg hmare seher m mila tha use.
karib 5.8ft uncha ghane gehre kale bal dikhne me sarif, kapde bhi sada pehn na psnd krta tha wo, Pehle din se hi hmare bich koi jhidap ni hui bs dosti se kam wala rishta bn gya dost bn ne k liye hum umra hona bhi jaruri ni h pr gharwalon ki nzr m wo mano teacher ho mere liye or me jese 2nd cls ki koi student. har bat pr kehte the ise bhi apni tarah padhai m mn lagana sikha do,, halanki mere marks average 70% se jada pr maa baap k 90% se thode km ate the.
Mujhe kabhi jaruri nahi laga ki achi % hona hi apki taleem mukar rar karta hai, par samaj m ache marks ka hona hi tey karta hai ki ap kis layak ho.
kher ye sab to mere hath m nahi tha or umar bhi kachi thi to frk km pada. Mujhe literature ne hmesa apni taraf akarshit kiya hai suru se hi hindi ke kavya gaddhans ko padna romanchak laga hai, english ki poems or drama stories kahin se bhi mile bs unhe padhna psnd tha, fir dheere dheere waqt badha to kacchi umra bhi hath se khisakne lagi mujhe ache bache ka tag lene ki chahat hadh se jada hone lagi maa baap k sanskaro ki ganth baandh kar 10th k result k bad kitabon m khud ko jhonkne ki puri kosis ki, fir kuch khali waqt nikal kr, mai Maanav k pas ja kar betha krti thi,, us se batein nahi karti thi blki mai apna kuch alg likha karti thi,, man k bhav kahaniyon m likhti thi, pehle wo muskurata tha mujh pr ,,mera bachpna samjh kar।। fir mujhe roz yahi karta dekh use anayas kuch ahsaas hua hoga tabhi to usne mujhse kaha tha ki tum bahut gambheer rehti ho jese koi 30 varsh ki mahila kisi kahani ko gathne k prayas m rehti hai.