Mera Name hai Ali or mai buhat hi gareeb gr say hun meray abbu jan mazdoor hain hum 3 bhai 2 behnay hain or meri ammi gr mai slai ka kam krti hai or mai b mazduri krta hun ye kahani meri hai mera name hai ali.jab mai chota tha or bohat shok tha dil ko khuwahisho ko pura krna menay kabi pasand k kapray nahi pehnay na kabhi koi pasand ki cheez mli mujay meray chachu ameer the jab garmi hoti thi to mai un k gr chala jata tha hamaray yaha lite nahi hoti thi waha jata tha sonay k liye lekin jab bi sota to vo fan band kr dettay mai phir vohi garmi mehsoos krta gussay mai a kr menay waha jana chor diya jab mai thora or bra huwa yani balag ho geya us waqt mujay meri ek kazn say muhabbat ho gai us waqt muhabbat keya hai pta nahi tha pasad samaj lo mai shadi oe geya tha usay pehli bar dekha tha waha ku k mai kabi geya nahi tha pehlay ku k kapray nahi hotay the mai usay door say dekhta rehta hai or khush hota rehta tha vo bohat khubsurat thi mai apnay ap ko us k like nahi samjta tha meray kazn b the jo muj say zeda achy dikhtay the kapray b achy or khubsurti mai b achy the vi b meray sath bethay nahi the mai sochta tha k vo bla mujay pasand ku kray gi vo shayad kisi ko pehlay say hi pasand krti ho. mai waha say chala geya jab mai gr aya to mujay uski yaad ati rehi mai bra ho geya mujay usay dekhay huway 8 saal beet chukay the jesa mai pehlay tha aj b wesa hi tha bas kapray thoray tabdeel the yani achy phir ak shadi i meri ammi mujay zaberdasti le kr chali gai ku k mera dil nahi krta tha janay ko waha phir menay usay dekha or dekhta hi reh geya waha mera ak kazn b aya huwa tha jis say meri dosti kafi gehri ho chuki thi usay mulakaat ki khoob batay ki jab hum safer niklay khana kha kr to vo larki jisay mai pasand krta tha apni kazno k sath bethi huee thi waha pr larkay b a gay jo un k kazn the mamu k betay muskura kr batay krti rehi mera mai ye soch kabi baat na krta k mujay meri oqqat na dikh ku k us k sapnay unchay the na kehi is mehfil mai meray baap ka sir na gira de mera dil diray diray raaz mai tabdeel honay lga sigrat pinay lga mujay meray maa baap ki izzat zeda pyari thi mai usay bula dena chahta tha meri zindagi mai ek essa mor aya jis nay meri zindagi barbaad kr di mai zinda reh kr bi zinda na reh ska menay 2 saal lga kr paisay joray huway the mai pardes chala chalo maa baap k sapnay puray kr skun lekin mai pardes ja kr essa pansa bahir nahi nikal paya 2 saal or guzar gay kuch nahi kamaya baap ki nazar mai girgeya kabi un say ankh na mila ska ye soch soch kr mai khud say batay krna lga jab pardes mai tha to agay keya honay wala hai ilam ho chuka tha jo aj such mai ho raha hai meray abbu ab muj say kabi baat nahi krtay meri shakal b nahi dekhna pasand thi unhay lekin mai unhay chor nahi skta tha beta tha unka mai subo kam k liye jata or raat ko 12 bajay ata k abbu ab so gay hongay ab mera koi dost nahi tha na muhabbat thi or na hi mai or kisi ko apna samjta tha mai bas sigrat ko dost muhabbat zindagi khushi dukh ki dawa sigrat ko kehnay lga ak din meri ammi kehti mujay tumhari khala k gr le ja meray dil nahi krta tha kehi janay ko menay kaha ammi chotay bhai ko le jaye unho nay kaha usay kam hai mai ammi ko le geya waha kuch program tha sab aye huway the waha phir say vo mujay nazar a gai lekin mera dil ek raaz mai tabdeel ho chuka tha ab is mai kisi k liye koi jaga nahi waha pr vo bethay khel rehay tha mai khana kha kr waha a kr beth geya khel botal wala tha jis pr rukhi usko ak lafz btaya jaye ga usko uska matlab samjna hoga mai wesay hi beth geya mujay nahi pta tha sab waha majood the batol muj or ruk gay menay kaha mujay kuch nahi ata mai to wesay hi betha hun vo kehtay bethay the ab khelna to pray ga mai chalo thk hai btao keya krna hai jis khel mai ma betha tha us mai vo b thi or b bohat saray the or kuch bahir beth kr dekh rehay the mai in logo mai pehli baar betha tha un ho nay kaha Z say kuch btao uska matlab koi songe koi sheyari mai hans pra menay pucha Z acha btao zindagi keya hai unho nay kaha jo guzaar rehay hain menay kaha meri nazar mai ye nahi zindagi ka matlab unho nay kaha to phir keya hai menay kaha ye zindagi ka lafz bolnay mai ek hai lekin ye sath lafzo ko jor kr ek lafz bnaya geya hai zindagi khushi takleef muhabbat dard nafrat or moot ab peda huwa khushi say muskurata chehra bra huwa school jab maar parni takleef honi jawan huwa muhabbat mai haar jana dard deta hai na dard ho to nafrat khud peda ho jati hai or us k baad moot ati hai vo sab mujay gurtay rehay menay kaha tum mai say kabi kisi nay in sab say mukabla kiya hai yan kisi ak say kiya ho btao kisi na kaha muhabbat kisi nay kaha dard to kisi nay keya or keya vo larki jisay kabhi mai pasand krta tha bol tum btao tum nay kis say mukabla kiya hai mai hans pra menay kaha mai sab say mukabla kr chuka hun har ek say hara hun ab bas moot baki hai us say b harunga lekin pta nahi mukabla kab hoga mai waha say uth kr chala geya or vo mujay dekhtay rehay ye keya bol geya mai uper chath pr ja kr sigrat pinay lga or jis say kabi muhabbat krta tha uska or oro larkiyo ka deyan muj pr parnay lga meray kareeb ati k muj say baat kray lekin usay keya pta tha k mai raaz e dil hun or raaz e dil kabi raaz nahi kholtay phir vo boli or kehti tum itnay sad ku ho menay kaha nahi to mai bohat khush hun vo kehti acha menay han mai khud koi baat nahi krta tha vo kehti tum b kuch baat kro mai hans us nay kaha hans ku rehay ho menay kaha ek waqt tha jab mai tum say baat krnay ko trapta tha aj tum khud hi kehti ho k baat kro us nay kaha keya menay kaha kuch nahi menay kaha mai chalta hun zindagi rehi to phir milay gay mujay kehti number to de jao mai phir hans pra menay kaha na phir milay gay zaroor milay gay.