8. Chapter 8

A/N…

Diya, Hahahaha larki badam khaya karo ta k domagh tezz dorry… Heheheh bs kya karien yar, sir ka image hi easa hai k woh composed aur strict hain aur mujhy lagta hai k unn py suit bhi yehi kerta hai, hahah… Thank you doll and stay blessed… :)

Guest, Nahin dear, real name zarori nahin hai, fake name sy bhi bana sakty hain account but id sahi honi chahiye, confirmation message id py hi aata hai… Thank you dear and stay blessed… :)

GD, Hahahaha arrey kya yar, business mein bohut paisa hota hai ager sahi chal raha ho tou aur phir doo hi tou log hain, aaram sy afford ker sakty hain Daya sir yeh sb… ;) ;) Yar mujhy past bhi clear kerna hai na sath sath, issi liye jahan scene set hota hua nazar aata hai main wahan FB daal daiti hoon, hehehe… ;) ;) Hhahahah yar yeh maira style hai password likhny ka main end py full stop zaror dalti hoon, hehehehe… :D Yar lekin main ny jo observe kia hai na uss mein ekloty bach'chy sharing brdasht nahin kerty especially single parent child kyun k unn k paas tou wohi aik relation hota hai tou woh ussy kisi k sath share nahin ker sakty and yeah yeh khud ko bhi mushkil sy hi share kerty hain and I tried to show that from small gestures of Aryaan, like he was not willing to go without Daya anywhere, he always demand Daya around him, Daya went in the same day but still till night Aryaan was that much restless without him that he slept in his room, and many other small gestures… Thank you so very much dear and stay blessed… :)

Subhsresaha, Hahaha good doll, rona chahiye bhi nahin tha aur as your reward a tight hug for you… :-* Hahaahhaa tum bhi na larki bs, love you… :-* Hahah hai na acha kia na Aani ny bechari Pacha auntie kaisy bhagien, hehehe… ;) ;) Sheenam ko na tum ny iss taraf lagaya hai, pehly din sy mujh masoom k peechy pari hue ho, Mohina tum hi ho bs, done hai yeh baat, hahah… :D Love you sweety with a big and tight hug, love you… :-* :-* :-)

Guest, Thank you dear and stay blessed… :)

Sukhmani Kaur, Really happy for you doll, easa hi acha acha sochti aur feel kerti raho tou bs zaror bohut jaldi theek ho jao gi aap… Love you doll, thank you dear and stay blessed... :)

Guest, Shukriya g, khush ravo ty jeendy ravo… :)

Guest, Hahaha dear aap pray karo k aap ki college life bhi bohut achy sy guzry aur zada uss barey mein socho hi nahin warna tension hi hoti rahy gi aur ager yoga aata hai tou subha ya shaam mein ker lia karo, bohut achi remedy hai tensions to bhagany k liye… Thank you dear and stay blessed… :)

Amar Singh, Thank you so very much sir, feeling blessed… :)

Tanya, Thank you so very auntie, feeling great and love you too… Thank again… :)

Guest, Thank you dear and stay blessed… :)

Pinky, Thank you dear and stay blessed… :)

Siya 01, Thank you dear and stay blessed… :)

Poonum, Yar ACP sir got retired long before and Abhijeet sir got retired from ACP's rank… He become the next ACP and about ages, you can imagine them in late fifties… Thank you dear and stay blessed… :)

Khushi, Yeah doll don't worry pray for her and always hope for the best… Bohut acha result aaye ga aap ki friend ka, just be strong to support her… Aap bhi sb sy choti ho ghar mein, yar iss forum mein mairi zada tr friends apny ghar mein sb sy choti hi hain wasey main iss group mein nahin aati, hehehe… ;) ;) Arrey nahin doll us ski zarort nahin hai yar aap bs apna review dy dia karo char char dainy ki zarort nahin hai yar and a tight hug for yours this much concern, I am really obliged… Thank you dear and stay blessed… :)

Purvi, Hahahhahaha oooh doll aap bhi na ghussa bhi ho aur nahin bhi ho, kafi innocent ho aap… :-* Acha chalo aik tight sa hug and lots of prayers, ab tou maan jao na aura b jaldi sy bata bhi doo k kyun bola tha thanks, I'm waiting to know doll… Thank you dear, love you a lot, stay blessed and keep smiling… :) :)

Luvabhi, Haha bach'chy yeh tou story sy related questions hain na tou yeh tou main abhi nahin bata sakti aap ko… You need to wait to know about this… Thank you dear and stay blessed… :)

Guest, Main koe nahin bula rahi aap ko di, aap mairi friend hi ho bs wohi theek hai wasey larki mujhy aap ki expected punishment sy khatry ki ghantiyan sunai dainy lg gae hain, daikho main pehly hi bata rahi hoon main punishments zada follow nahin kerti, hahahahha… :D :D Hahahahah arrey nahin mairy baal tou kabhi black thy hi nahin, dark brown color hai mairy balon ka, heheheh… ;) ;) Try kerti raho, daikho kitny nishany sahi lagty hain, hahaha… :D ;) Dear maturity age py depend nahin kerti, waqt py kerti hai, issi liye shaid main iss age mein hi mature ho gae, haha… ;) Thank you so much dear, love you with a tight hug, stay blessed… :) :)

DayaDiva, Hahaha ooh doll you are so sweet yar and yeah doll I really mean my words… Love you a lot doll, thank you dear and stay blessed… :)

Rukmani, Thank you dear and stay blessed… :)

Guest, Thank you dear and stay blessed… :)

Shzk, Thank you so very much dear for yours words and especially the hug, love you and stay blessed… :)

Guest, Thank you dear and stay blessed… :)

Priya, Thank you so very much dear, stay blessed… :)

Cracresta, Chalo iss chapter mein aap ko answer mil jaye ga, zara doo teen deep breaths ly lo pehly hi as a precautionary measure, hahaha… ;) Love you doll, thank you dear and stay blessed… :) :)

Anjali-CID, Dear aap ko ks ny bola k main children ko mila rahi hoon ya baron ko, aap ko lagta hai kya k main itni achi hoon, hehehe… Acha chalo daikho main aagy aagy kya kya kerny ja rahi hoon, hahah… Thank you dear and stay blessed… :)

Katiiy, Secrets tou bohut sarey hain yar, time to time reveal hoon gy, haha… ;) Thank you dear and stay blessed… :)

Here is the next chapter, please have fun and must review… :) :)

England…

Nottingham…

AD Vila…

Aryaan really got disturbed after reading all that and from past around an hour, he was continuously changing his sides on bed, when at last he just sat on bed and again switched on the laptop and started reading the diary again…

Sunil ko bhi main ny aaj wapis bhaij dia, woh jana nahin chahta tha mujhy iss tarhan chor k per main ny zabardasti bhaij dia ussy wapis kyun k Jiya aur Puneet bohut choty hain aur bhabhi ko bhi uss ki zarort ho gi na… Aur phir ab yeh kami tou sari zindagi rahy gi humari zindagiyon mein, koe kahan tk sath dy sakta hai kisi ka… Maira sath tou uss ny bhi chor dia tha js ny kabhi sath na chorny ki kasam khai thi, lekin shaid wady hoty hi tootny k liye hain… Mujhy kabhi kabhi sach mein bohut drr lagta hai, mairy paas ab Aryaan k siwa aur kuch nahin hai, main ny apna sb kuch iss mein samait lia hai aur kabhi ager iss ny toor dia mujhy tou main zinda nahin reh paon ga…

Tears were running down from Aryaan's eyes in speed and were making the image present in front of him blur… Aryaan wiped his wet face and eyes and in strong tone: Nahin Dad, I promise to you main aap ko kabhi nahin tooron ga, kabhi bhi nahin…

And he continued his reading after wiping his tears again…

Lekin Aryaan maira baita hai, maira khoon aur maira gharoor, mujhy pata hai woh mujhy kabhi chot nahin dy sakta, mujhy apny baity per pura trust hai, pura trust…

A small smile appeared on Aryaan's lips and he whispered as: Thank you Dad…

Aaj mujhy woh bohut yaad aaya, dil kia k bs aa jaye kahin sy aur main uss k galy lg k khoub ro'on… Woh mairy hr mushkil waqt mein mairy sath hi tou hota tha na mujhy sambhalny aur himmet dilany, lekin main janta hun k woh nahin aaye ga, kabhi nahin aaye ga… Na hi woh aur na hi mairi family ka koe aur…

Aryaan in extreme shock: Dad ki family… Lekin, Dad… Dad ny tou mujhy kabhi nahin bataya apny kisi relative ka, woh tou hamesha kehty hain k I am his only family… Tou kya woh apni family ko yaad ker k hi itny depress ho jaty hain…

And he started reading again with so many questions revolving in his mind…

Haan main ny unhien apni family hi tou mana tha, mairi CID family… Main aik CID officer tha, India mein… Mumbai CID team ka Snr. Ins. Daya…

Aryaan was looking in extreme shock and stunned as Daya never told him anything regarding his past life, not even a single thing… He continued his reading to know more about his Dad's life, thinking might be that would help him to lower down his Dad's pain and hurt…

Tha, haan tha… Ab main ny CID chor di, aik toofan aaya aur sb kuch apny sath baha ker ly gaya… Nahin ager main kahon k maira sb kuch apny sath baha ker ly gaya tou yeh zada sahi rahy ga… Toofan bhi maira laya gaya hi tha lekin main majboor tha bohut zada majboor warna main kabhi Tarika sy shadi na kerta…

Aryaan froze on his place and he really read those words until he realized that no, he did not make any mistake while reading those words, yeah the same words were present right in front of him and there was no use of reading them again and again as the words were not going to change…

Aryaan unbelievably: Mamma is not Dad's only wife… But…

And he could not think more as those words raised too many other questions in his mind but he was really feeling his mind jammed and struck so he just drank a full glass of water in one go to make his mind relax and after taking two, three deep breaths, he again started reading from where he left…

Tarika humary sath kaam kerti thi, woh CID ki forensic expert thi… Kitna maza kerty thy hum sb Bureau mein… Main kitna tang kerta tha Abhi ko Tarika ki wajah sy… Abhi, Abhi maira bara bhai tha, nahin khoon ka rishta nahin tha humara, khoon ka rishta tou mairy paas kabhi bhi koe tha hi nahin… I was an orphan, phir studies complete ker k CID join ki aur bs apni team ko hi apni family bana lia… Abhi aur Tarika aik dosry ko pyar kerty thy, hum sb janty thy yeh baat aur kitny khush bhi thy unn dono k liye… Lekin bhagwan sy shaid humain khush daikha nahin gaya aur uss ny sb tabah ker dia aur wajah mujhy bana dia… Bhagwan hamesha easa hi kerta hai, Abhi ki zindagi mein koe bhi kharabi ho wajah mujhy hi banata tha… Abhi ki yadasht bhi tou mairi wajah sy hi gaien thien na, tb woh maira senior tha CID mein aur phir kb hum senior-junior sy dost aur dost sy bhai aur phir aik dosry ki zindagi bn gaye pata hi nahin chala… Main ny uss ki zindagi bn k hi uss sy zindagi cheen li, I snatched away his life and happiness from him but I know what and why I did all that aur yehi batany k liye main ny ussy phone kia tha lekin uss ny kaha k "Daya tum mrr gaye mairy liye, dobara kabhi yahan phone na kerna…" Bs phir kabhi dil hi nahin kia maira ussy kuch bhi batany ko… Khair main tou bohut pehly hi mrr gaya tha unn sb k liye aur main tou wasey bhi kabhi wapis na aany k liye hi nikla tha India sy tabhi apny peechy khud tk pohanchny k sb rasty band ker diye main ny kyun k ab mujhy unn k rasty mein nahin aana tha… Aur jahan tk raha Abhi, tou mujhy pata hai k bhabhi bohut zada compromising aur understanding hain, woh zaror sambhal lien gien Abhi ko… aur phir team bhi…

Thursday…

Kal bs utna hi share ker paya main dairy, sorry yar Aryaan jaag gaya tha aur mairi taraf daikh k itni pyari smile di k bs main ny tou foren ussy utha lia aur phir uss k sath khailty huey aur baatien kerty hoye wapis tumhien daikhny ka dil hi nahin kia… Pata hai aaj main aur Aryaan bahir walk py gaye aur khoub sari baatien kien… Haan bhae sach mein Aryaan response kerta hai mairi hr baat ko aur pata hai uss ki aankhien aur baal bilkul Jennie k jaisy hain, main hamesha Jennie sy kehta tha k "Jennie I really wish our children will have eyes like yours"… Aur woh hans daiti thi, aik khobsorat aur full of life laugh aur jb Aryaan humari zindagi mein aaya tou Jennie ny kitny mazey sy mujhy bola tha k "See Daya, yours son's eyes are like mine ones, happy now…?" Aur main ny bilkul aik choty bach'chy ki tarhan node kia tha hasty hoye… Sunil hamesha kehta tha k "Bhabhi it seems you did not get marry but adopted an over-sized child"… (A light laugh came out from Aryaan's mouth, who really forgot about few minutes before feelings and was only enjoying his father's words and feelings where care and love could easily be sensed from each and every word…) Aryaan ki hasi bilkul mairy jaisi hai lekin yeh mujh sy zada pyara lagta hai hasty hoye, mun mein dant jo nahin hain iss k aur aankhon mein kitni shirart hai… Itna pyara lagta hai na woh jb yun hasta hai aur iss ki yeh choti choti aankhien aur bhi choti ho jati hain hasty hoye… Lekin pata nahin iss ki acting skills ks py gaien hain, itna rota hai mager aansu nahin nikalta koe bhi… Aik jagah sakoon sy tou lait'ta hi nahin hai bs hr waqt khara rakho ya beetha doo, zara sa lita k tou daikho foren rona shuru… Jennie jb bhi mujhy kehti thi k Aryaan acting ker raha hai, kuch nahin hua issy, main zada panic ho raha hun tou main ussy hamesha kehta tha k itna chota sa bach'cha kaisy acting ker sakta hai lekin Jennie sahi kaha kerti thi yeh acting hi kerta hai... Jennie maa thi na issi liye samjh gae thi lekin woh tou sb ko hi bohut aaram sy samjh jati thi, mujhy bhi tou samjh gae thi kitny aaram sy jb main ny ussy mairi past life k barey mein bataya tha… Haan, main ny ussy shadi sy pehly hi sb sach sach bata dia tha jo kuch mairy sath hua aur jo kuch main ny kia, mairy aur Dr. Tarika k barey mein bhi aur sath hi ussy propose bhi ker dia tha main ny, kafi drr tha k shaid woh reject ker dy lekin uss ny kitna strongly kaha tha k "Daya every saint has a past and every sinner has a future… I want to have part in yours all smiles and sorrows… And now after knowing all from you, yours respect in my eyes has increased very much and I just want to be yours life partner because I love you…" Aur phir hum ny next day shadi ker li aur uss ny jo kaha sach ker k dikhaya aur sach mein mairi zindagi bn gae Jennie… Lekin yahan bhi zindagi ny dhoka dy dia aur woh chali gae, itni jaldi chali gae…

Friday…

Bs kal bohut kuch yaad aa gaya iss liye aagy likha hi nahin gaya… Aaj main ny khud sy promise kia hai k Aryaan ko kabhi apni past life k barey mein kuch nahin bataon ga main kyun k mairy past mein siwaye dukh aur takleef k aur kuch bhi nahin hai aur main Aryaan sy woh sb share nahin kerna chahta, not at any cost… Kal Avni bhabhi k suggestion py main Aryaan k liye walker laya tha lekin pata nahin mujhy drr lg raha hai issy uss mein bithaty hoye, abhi kitna chota hai yeh, ager chot lg gae tou… Lekin issy khary hony ka shoq bhi tou bohut hai aur phir bhabhi ny Puneet ko bhi tou walker mein bithana shuru ker dia hai aur woh tou Aryaan sy panch din chota hai… Jennie hoti tou phir tou koe problem hi nahin hota na, bhabhi ki tarhan ussy bhi pata hota kaisy sambhalna hai issy… Kal daikhon ga bitha k issy, aaj tou mujh mein bilkul himmet hi nahin hue zara bhi… Aur phir aaj yeh roya bhi tou bohut, aaj vaccination thi na iss ki aur doctor ny kitni zoor sy injection lagaya aur oper sy mujhy bolny lg gaye k "If now you will not stop interfering then we will send you outside" kyun k according to them Aryaan sy zada maira shor tha wahan, hunh… (There was a continous smile present on Aryaan's lips while reading all that…) Main ny tou decide ker lia hai, next time Aryaan ko kisi aur hospital ly k jaon ga, fever bhi ho gaya hai mairy baity ko lekin inn doctors ko tou fark hi nahin perta kuch… Kitni mushkil sy sulaya hai main ny issy, itna roo raha tha aur aaj tou aansu bhi thy itny moty moty iss ki inn choti choti aankhon mein… Lekin… Oooh god yeh phir sy disturb hona shuru ho gaya hai, main iss ka feeder lata hun jaldi sy kahin jaag hi na jaye phir sota bhi tou kitni mushkil sy hai, bye bye…

Saturday…

Aaj Aryaan ka fever uttar gaya tha, doctor ny bola k bs vaccination ki wajah sy easa mild fever aa jata hai… Aaj main ny Aryaan ko walker mein bithaya tha thora sa, chilana tou nahin aaya issy zada lekin khush bohut hua tha aur maira Aryaan khush tou main khush… Pictures bhi li hain main ny iss ki, Sunil ko bhaij bhi dien uss ny kaha tha mujhy…

Aryaan k mairi zindagi mein aany k baad ab mujhy aur kuch nahin chahiye zindagi sy… Pehly mujhy thora si takleef zaror thi k Abhi ny aik baar bhi mairi baat nahin sun'ni, mujhy aik mok'ka nahin dia apni baat kehny ka… Kitna yakeen tha mujhy uss py k aik baar woh mairi baat zaror sun'ny ga sirf aik baar lekin khair shaid main ny uss k sath jo kia uss k baad uss ka yeh sb kerna sahi bhi hai aur phir main ny dair bhi tou kitni kr di jb woh mujh sy baar baar pouchta raha tb tou main ny ussy toorny mein aur dard dainy mein koe kasar nahin chori tou ab mairy sath yeh sb kerny ka ussy pura haq hai, jo dard aur takleef main ny ussy di uss ko kahin na kahin tou nikalna tha na ussy bhi… Lekin ACP sir, Dr, Salunkhy , Freddy koe tou suun laita mairi baat… Tarika tou Dr. Salunkhy ki baiti jaisi thi na tabhi unhon ny hamesha mujhy ghalat kaha aur hr haal mein Tarika ki side li, mairi side lainy k liye bhi kash koe hota… Kash main uss rooz Tarika k ghar na gaya hota, kash main ny woh sb na suna hota lekin ager woh sb main ny na suna hota tou shaid iss toofan sy zada bara toofan aata, iss mein tou sirf maira sb kuch tabah hua uss mein hum sb tabah ho jaty…

Bs ab main ny faisla ker lia hai k main iss sb ko kabhi zaban per nahin laon ga kyun k iss sy Aryaan py effect ho ga aur main ussy ly k koe risk nahin ly sakta… Main Aryaan ko kabhi India nahin jany dun ga, kabhi bhi nahin kyun k mujhy ab wahan jany sy drr sa lagta hai, bohut zada drr…

Sunday…

Kal sy mujhy office join kerna hai, takriben doo hafty sy nahin gaya main… Lekin mujhy samjh nahin aa raha k Aryaan ko kaisy sambhalon yahan tou main kisi ko janta bhi nahin hun, India mein hota tou shaid kuch ho jata… Kal Sunil ny suggestion tou dia tha k main koe baby seater rakh lun Aryaan k liye lekin main Aryaan ko ly k shaid bohut zada over-protective hun aur iss k liye main kisi py bhi bharosa nahin ker sakta… Shukr hai k aik choti si company establish ker li hai, job ker raha hota tou ab tk tou shaid mujhy termination letter mil gaya hota… Wasey sach kahon tou yeh company bhi main ny ACP sir aur Abhi ki wajah sy hi establish ki thi kyun k ab main kisi aur ko sir ya Boss nahin bula sakta… Khair kal sy Aryaan ko bhi sath ly k jaya karon ga bs, wasey bhi tang tou kerta nahin hai yeh aur zada time sota rehta hai, hmm bs yehi theek rahy ga bilkul…

Monday…

Ufff aaj main bohut thak gaya… Bohut zada kaam pending ho gaya tha office mein… Shukr hai Aryaan ka walker ly gaya tha sath hi aur yeh uss mein khailta raha khud hi… Wasey shukr hai k maira office staff bhi bohut supportive hai, unhon ny bhi achy sy daikh lia issy lekin yeh bhi apny naam ka aik hi hai… Thori dair k liye aik site py kya chala gaya issy Paul k paas chor k, mairy wapis aany tk pury staff ki dorien lagwaien huen thien roo roo k… Mairy paas aany ki dair thi aur itni pyari smile di aur phir foren hi yaad aa gaya issy k main tou roo raha tha aur phir shuru ho gae iss ki acting… Lekin issy sach mein neend aa rahi thi aur issi liye tang ker raha tha, shukr hai soo gaya phir thory sy stunts…

The inter-com in his room got rang which broke down his tempo and he really gave very annoyed expressions while looking at the phone and then after grabbing the receiver and making his voice heavy to show that he was sleeping: Yes…?

Servant: Sir its 06 in the morning…

Aryaan looked at the clock in shock and then: Oooh OK Walt, thank you…

And he placed the receiver back and murmurmed: I kept reading it the whole night… Well it is that much interesting that I can't resist it… Thank god Dad wrote it in Roman Hindi otherwise how I could come to know about all these things… (while placing the laptop in his lap again…) Well I am not going for exercise today as I am having much important work than that…

And he again started reading…

ker k… Chalo ab main bhi soo jata hun, warna kal problem ho ga wasey bhi abhi Aryaan pata nahin kitni baar jagaye ga mujhy raat ko… Kabhi kabhi mujhy bohut hairt hoti hai k kya main wohi Daya hun, aik carefree, hr waqt relax rehny wala aur security apny around chahny wala Daya… Abhi ny sach mein mairi aadtien bohut kharab ker dien thien, mujhy itna pyar aur aik secure shell mairy around bana k aur phir aik hi jhatky sy woh sb chorna para mujhy… Acha hi hua wasey kyun k mairy Aryaan ko aik strong aur independent father ki zarorat hai ager main wohi Daya hota tou shaid issy woh sb na dy pata… I wish main Aryaan ko bilkul Jennie ki tarhan strong aur independent bana sakon kyun k kahin na kahin main yeh nahin chahta k Aryaan mairi tarhan ka baney, aik sensitive, sentimental aur emotional, js ko koe bhi uss ki easi nature ki wajah sy exploit ker saky aur phir yeh qualities issy dukh aur takleef k siwa shaid kabhi kuch na dien paien jaisy mairy sath hua…

Sunday…

Aaj kafi dinon…

His room door got knocked and he heard Puneet voice as: Aani utho jaldi, we are getting late yar…

Aryaan annoyingly murmured: Lo ab iss sy bach k dikhao… Yeh tou…

Puneet again: Aani are you listening me… Uth bhi jao, main…

Aryaan cutting him: Yeah Chen, wait will join you in 5 minutes…

Puneet strictly: 5 minutes mean 5 minutes, OK…?

Aryaan taking sigh: Yeah fine…

And after shutting down the laptop, he moved to get fresh and then went outside for walk with Puneet and after coming back they both took their breakfast where…

Puneet: Aani kal nikalna hai London k liye, tum packing ker laina… (Aryaan nodded silently… Puneet looking him keenly…) Tum soye nahin na sari raat…?

Aryaan absent-mindedly: Haan…

And with that answer, he came out from his trail of thoughts and immediately looked towards Puneet, who was looking him with fixed gaze…

Aryaan trying to handle the situation with: Maira matlab zada nahin soo saka, assignment bana raha tha na issi liye… (taking sigh…) shukr hai aaj sy real holidays shuru ho jaien gien, hai na…

Puneet silently: Uncle ko miss ker rahy ho…?

Aryaan looked him and then moved his head down in silence because it was true that he was really missing his Dad at the moment and just want to hug him… Puneet knew well that whenever Daya was not with Aryaan, Aryaan just went in his silent zone so he tried to cheer him up…

Puneet in smile: Aani tum ny larai nahin ki mujh sy, main tumhara laptop bhi room mein lock ker k soo gaya tha…

Aryaan smiled and: Dad ko complaint ker di main ny tumhari…

Puneet looked him in extreme shock and: What…?

Aryaan naughtily: You know na that I am a good boy aur main Dad sy kuch nahin chupata hun…

Puneet angrily: Uncle ny tumhien shikaytien lagana tou khair kabhi nahin sikhaya ho ga Aani… (in flow…) woh tou khud bhi kabhi kisi ki complaint nahin kerty…

Aryaan really looked him and: Ks ki complaint kerni chahiye Dad ko Chen…?

Puneet looked him and while standing: You know this thing much better than me Aani, at least pain share zaror kerni chahiye…

And Puneet left from there towards his room, leaving a quite Aryaan behind… Aryaan sat there for few minutes when his mobile rang… He looked at the caller id and attended the call…

Aryaan happily: Good morning Dad, you will live a long life Dad as Chen and I were talking about you just few minutes ago…

Daya smiled and: We will live long life my soul as Dad tou zinda hi apny Aryaan k liye hain na… Acha batao kya baat ker rahy thy wasey aap dono mairy barey mein hmm…?

Aryaan thinking something: Dad woh tou mairy aur Chen k beech ki baat hai you know na friend's secrets… (in keen tone…) Aap k bhi tou apny friend k sath kitny secrets hain, hai na…?

Daya really quite for some moments and: Ks friend ki baat ker rahy ho aap Aryaan…?

Aryaan in light mood: Sunil uncle ki Dad aur ks ki… Why, aap k koe aur bhi friend hain kya…?

Daya absent-mindedly whispered: Nahin, ab koe nahin hai… (Aryaan really quite as he heard that murmur while Daya after realizing what he had said, hurriedly…) Aaj koe meeting nahin hai mairi yar, shukr hai aaj rest karon ga… Aap ki assignment complete ho gae kya…?

Aryaan took deep breath and then in smile: G Dad woh tou raat ko hi ho gae thi… (taking a pause…) Dad aap ko pata hai raat ko jb mairi assignment complete ho gae tou main ny laptop shut down ker dia aur baad mein kuch alterations kerny ka dil kia tou main ny laptop dobara khol lia aur mairi hard luck k mujhy naam hi bhool gaya document ka aur…

Daya cutting him hurriedly in tension: Phir kya kia aap ny…?

Aryaan casually: Kuch nahin Dad pata hai sarey documents check kerny…

Daya cutting him in extreme shock: What… Aap, aap ny documents ch… check kiye… Aryaan aap… aap ny fi… file ks mein banai thi Aryaan…?

Aryaan in calm tone: Power point py…

Daya undelibarately: Thank god…

Aryaan keenly: Kyun Dad, aap itny preshan kyun ho rahy hain iss sb sy…?

Daya trying to behave normal: Preshan, arrey nahin yar woh bs MS Word py kafi official documents hain tou bs issi liye main ny kaha k kahin aap ki file unn mein mix na ho gae ho, bohut important assignment thi na bs issi liye tension ho gae mujhy…

Aryaan smiled and: G shukr hai jaldi mil gae aur phir main ny final touch dy dia aaram sy… Aur Dad hum kal nikal rahy hain London k liye, aap bhi please try kariye ga wahan aany ka…

Daya in smile: OK baita, main zaror try karon ga yahan sy free hoty hi… Aap dono khayal rakhna apna aur haan main ny breakfast ker k medicines ly lien hain…

Aryaan laughed lightly and: OK Dad, waiting for you and love you…

Daya in smile: Love you too Dad's red rabbit, bye…

And the line got cut by Daya and they both looked towards the mobile for few moments and a whisper came out from both mouths as I AM SORRY Dad/Aryaan… And sighing deeply, they both just closed their eyes to relax their emotions and thoughts…

A/N…

So friends like ACHY BACH'CHY, I updated the chapter on the expected day although not satisfied with the number of reviews, so please must review because I cannot push myself to be acha bach'cha again… Please do review… :)

Love you and take care you all… :)