Chapter 14

*Criminal hideout*

Man 2 - Boss yeh raha uss jagah ka blueprint

Boss - Theek hai, kon kaha se andar jayega, kya karega sab barabar plan karo aur mujhe batao

Man 1 - Yes boss

(Just then Raghu's phone started ringing)

Raghu - Boss kabhri ka phone hai

Man 2 - Speaker pe daal

Raghu (switching on the speaker) - Bol kya hua

Kabhri - Wahi woh ACP dimag ka dahi kar raha hai! Kitna mushkil hai uspar nazar rakhna iss baat ka andaza bhi nahi laga sakte tum log

Boss - Pata hai yaar... Kuch pata chala ki nahi tu yeh bata!

Kabhri - Pata toh chala hai... ACP ne uss din ke phone records nikalwaye the... Jis din Abhijeet mara tha

Raghu - Acha hua yeh humne pehle hi socha tha ki woh aisa kar sakta hai aur isliye phones lekar nahi gaye the

Abhijeet - Kuch mila kya ACP ko phone records mai?

Kabhri - Records ke hisab se uss din Dr. Avinash bhi waha par tha... ACP ko ab uss par shak hai

Man 1 - Yeh Avinash wahi hai na jo Daya ka ilaj kar raha hai?

Kabhri - Haa wahi hai

Raghu - Ab iss Avinash ka Abhijeet se kya lena dena!

Kabhri - Mujhe kya pata!

Boss - Sawal toh ye hai ki Avinash uss din uss raste par kar kya raha tha?

Abhijeet - Dekho ab ACP ko uss par shak toh ho hi gaya hai... Intezar karte hai ACP ke Avinash ko pakad ne ka... Woh ek baar usse pakad le apne app pata chal jayega ki uska in sab se kya lena dena hai

Kabhri - Mujhe bhi lagta hai aisa hi karna chahiye... Aur ek baat... Bich mai ACP ko ek phone aaya tha... Kisi cafe mai gaya tha woh salunkhe se milne... Uske piche gaya toh tha mai lekin kuch sun nahi paya

Boss - Theek hai... Tu ACP pe nazar rakhta rah... Aur woh jo kuch bhi karta hai bata hume

Kabhri - Theek hai... Bye

           When they cut the call they noticed that Abhijeet was looking a but distracted

Man 1 - Karan kya hua tujhe?

Abhijeet - Nahi kuch nahi... Woh bas thode chakkar aa rahe hai

Boss - Woh sab chodo! Pehle Daya ko kaise dhudna hai woh socho

             They started discussing further when Abhijeet was about to fall when just in time he held the table

Man 2 - Boss iski halat jayada kharab lag rahi hai

Boss - Hmm... Aise toh yeh kuch kaam bhi nahi karega aur naa hum kuch kar payege! Tu jaa... Tere ghar jaa!

Abhijeet - Theek hai boss... Mai jata hu! Mai kal tak aa jayega!

             Coming out of the hideout he walked some distance and made a call... Deciding to meet the person at some place he quickly rode his bike to that place

Abhijeet - Yeh abhi tak aaye kyu nahi! Ek toh inki wajhse waha se aana pada, bahana bana kar ki tabayat kharab hai, nahi toh unhe shak ho jata... Pata nahi kya plan kar rahe honge woh log!

Avinash - (just arriving to the place) Boliye sir? Appne mujhe yaha kyu bulaya?

Abhijeet - Dekhiye Dr. Avinash mujhe appse bohat zaruri baat karni hai

Avinash - Ji sir boliye!

Abhijeet - ACP sir ko yeh pata chal chuka hai ki mai zinda hu... Unhone uss din ke phone records nikalwaye hai aur ab unhe yeh bhi pata hai ki uss din, uss raste par app bhi the... Unhe app par shak ho gaya hai!

Avinash - ACP sir ko shak ho gaya hai! Ab mai kya karu? (getting nervous)

Abhijeet - Appko darne ki koi zarurat nahi hai... Appne kuch galat nahi kiya! Meri jaan bachana gunah nahi hai! Problem yeh hai ki agar ACP sir ne app se puch tach ki toh sir ko sach pata chal jayega... Unke samne toh mai nahi bach sakta... App kaise bachege!

Avinash - Toh ab kya karu sir mai?

Abhijeet - Bachne ka sirf ek tarika hai... App unke haat hi na lage... Ab jab tak yeh case solve nahi ho jata app ko underground rehna hoga

Avinash - Lekin kaha sir? Mai Mumbai se bahar chala jau?

Abhijeet - App Mumbai se bahar jaa hi nahi payege! App ghar aur hospital mai nahi hai toh ab tak toh ACP sir ne sare check posts par inform kar diya hoga ki appko jaha dekhe custody mai lele

Avinash - Toh ab kya kare sir?

Abhijeet - App mere saath chaliye... Mai appke rehne ka intezam karta hu... App bas itna yaad rakhiye ki app bimar hai

Avinash - Mai bimar hu!?

Abhijeet - Haa app bimar hai!

Avinash - Lekin mai bimar nahi hu!

Abhijeet - Maine kaha na app bimar hai... Matlab app bimar hai! Aayiye bike pe baithiye

Avinash - Hmm (murmuring) Ek doctor ko zabardasti bimar kar diya woh bhi pata nahi kyu!_____________________________________________

*Chawl*

             Abhijeet was tapping on a door when Kaki opened it... Dr. Avinash was standing beside him looking like a most confused person on the planet

Kaki - Aree Karan beta aao... Itne dino baad yaad aayi kaki ki! (with a angry expression)

            (Dr. Avinash was even more confused hearing the name Karan... But then he chose to keep quiet as he knew Abhijeet would be having some plan behind it)

Abhijeet - Sorry na kaki... Woh thoda busy tha... Isse miliye... Yeh mera dost hai Ravi

Kaki - Namaste Ravi beta... Aao na andar aao

Abhijeet - Kaki mai na Ravi ko andar hi chodne aaya hu

Kaki & Avinash (together) - Matlab?

Abhijeet - Matlab yeh ki kaki actually Ravi Mumbai mai akela rehta hai... Woh ek plumber hai

Avinash (exclaiming in between) - Plumber!!!

Abhijeet (with a stern expression) - Haa, plumber! Haa toh kaki mai yeh bol raha tha ki iski tabayat thodi kharab hai... Thodi nahi bohot kharab hai! Aur khayal rakhne wala koi hai nahi toh mai isse apne saath le aaya... Ab mai toh kudh ghar mai nahi rehta matlab ghar se jayada bahar rehta hu toh mai iska khayal kaise rakhuga! Isliye kya yeh appke ghar mai... Matlab agar appko koi pareshani nahi ho toh...

Kaki - Pareshani toh hai... Magar isse nahi (indicating towards Avinash) pareshani mujhe tere is 'appko koi pareshani toh nahi hai' se hai!

Abhijeet - Kya kaki app bhi! Thank you so much! Appko nahi pata appne mera kitna bada tension dur kar diya... Once again thank you so much!

Kaki - Aur ek baar tune thank you bola na toh mai Ravi ko toh ghar mai rakh lungi lekin tujhe bahar nikal dungi (angrily she said)! Beta yeh ghar jitna mera hai utna hi tera bhi hai... Yeh 'thank you' ki zarurat nahi hai!

Abhijeet - Thank you toh mai boluga... Ravi ko ghar mai rehne dene ke liye nahi toh, mera saath dene ke liye... Uss waqt jab mujhe appki sabse jayada zarurat thi (remembering the day when he came home after firing on Daya... The way kaki supported him that day was something that gave him sooth like nothing else) Chalo kaki... Chalta hu... Aur Ravi agar koi bhi zarurat ho toh mujhe bolna... Ghar ke bahar mat jana aur koi bhi problem ho toh mujhe phone karna... Bye_____________________________________________

*CID beauro*

ACP - Yeh Dr. Avinash gayab kidhar ho gaye! Ab toh mujhe pura vishwas hai unka inn sab mai koi toh involvement hai! Jab se gayab hue hai kisi ko nazar nahi aaye... Kab tak chupe rahege! Kabhi na kabhi toh bahar aana hi padega na... Tab tak mai yeh pata karta hu Daya akhir uss din uss cliff par gaya kyu tha? (Thinking for a while) Ratan help kar sakta meri iss sawal ka jawab dhudne mai

            (Deciding he picked up his phone and called Ratan, his trusted informer)

ACP - Sun ek kaam hai tere liye

Ratan - Bolo na sahab... Kya hua?

ACP - Kuch pata karna hai mujhe... Lekin itna yaad rakhna ki yeh baat kisi ko pata nahi chalni chahiye ki maine tujhe aisa koi kaam diya hai... Meri team ko bhi nahi pata... Agar kisi ko pata chala na toh...

Ratan - Aree sahab! App kyu tension lere ho! Ajj tak kabhi apun ne appka koi bhi secret leak hone diya hai kya?! Nahi pata chalega sahab... App bas bolo kya karne ka hai

ACP - Tujhe yeh pata karna hai ki Daya 2 mahine pehle uss din uss cliff par gaya kyu tha! Samjha tu? Matlab Daya ko kisi ne koi kabhar di thi yaa phir kisi ne milne bulaya ho... Jo kuch bhi tha pata karo... Waise maine uske phone records nikalwaye the... Usme toh kuch bhi ajeeb nahi mila mujhe

Ratan - Ho jayega sahab... Mai pata karta hai kyu gaye the Daya sahab udhar

*After an 3/4 hours*

Ratan - Sahab maine pata karne ki koshish ki... Yeh toh pata nahi chal raha ki Daya sahab cliff par kyu gaye the... Lekin yeh zaroor pata chala hai ki cliff par jane se pehle Daya sahab kisi chawl mai gate the... Unko, unke kisi informer ne kabhar di thi... Uss informer ka naam Raghav hai... Kya bola tha woh Daya sahab ko yeh apun ko nahi pata... Apun ko lagta hai ki uss chawl mai hi Daya sahab ko aisa kuch mila hoga jiski wajh se woh cliff par gaye

ACP - Theek hai... Kaam ki kabhar di hai tune... Iss Raghav ka naam to tha Daya ke phone records mai... Mujhe ajeeb nahi laga toh maine socha nahi... Raghav ko janta hai? Hai kya tere network mai?

Ratan - Mai toh nahi janta sahab... Lekin mera ek dost hai... Woh janta hai usko... Uski ki hi help se pata lagaya tha Raghav ke bare mai... Bolo toh baat karta hai mai usse?

ACP - Kar tu usse baat... Tu aur tera dost dono milna mujhe 1 ghante mai... Wahi apni humesha ki jagh pe

Ratan - Theek hai sahab... Aata hai apun apne dost ke saath... Rakhta hai sahab

ACP - Hmm... Bye

(After cutting the call)

ACP - Raghav... Ab tum hi pauchaoge mujhe Daya aur Abhijeet tak

To be continued...

            Hash... Finally done... So now ACP sir knows about the informer of Daya who informed Daya about the chawl... ACP sir is very near to reaching the chawl! Abhijeet sir's plan is in danger... Ab kya hoga?! Wait and watch... For now I have given a long update... Now its your turn to review.