Chapter 17

*Beauro*

           ACP sir walked in through the beauro door looking very angry... Freedy was about to ask him questions in his mind but looking into ACP sir's angry red eyes he forgot his questions itself! Purvi and pankaj also realized that it was safe not to say anything at the moment

Freedy - (in a low voice) Kya hua sir? Koi problem hai kya?

ACP - Nahi kuch nahi... Tum loyg apna kaam karo...

           Saying this he went in his cabin and sat on his chair with his head rested backwards... Taking deep breaths he relaxed for a while, calming himself down... After few minutes he drank few sips of water from the glass and looked much more better than before... Looking at his desk he realized that it wasn't the same as he left and checking it out he found out that the DNA report was missing from there... He well understood that the team must have got it and would be knowing the truth by now

ACP - (coming out from the cabin) Woh DNA report kaha hai?

Purvi - Yeh hai sir (and gave him the report)

ACP - Janta hu bohat sawal honge tum logo ke zehan mai... Lekin mere paas bhi ek wajh thi tum logo ko sach na batane ki

Freedy - Aur woh kya thi sir? Aisi konsi wajh thi ki appne hume yeh tak nahi bataya ki Abhijeet sir zinda hai?!

ACP - Kyuki agar mai tum logo ko yeh bata deta ki Abhijeet zinda hai toh mujhe yeh bhi batana padta ki Daya ko Abhijeet ne kidnap kiya hai

Freedy - Kya! Sir yeh app kya bol rahe hai!

Aakash - Sir aisa kaise ho sakta hai? Abhijeet toh mar chuka hai na! Daya ko Abhijeet kidnap kaise kar sakta hai?

ACP - Aakash Abhijeet zinda hai!!! Tum yeh sab chodo aur ek kaam karo... Forensic lab jao aur Salunkhe se pichle case ki postmortem report lekar aao... Case file mai attach karke court bejhni hai

Aakash - Yes sir

Freedy - Sir app yeh kya bol rahe hai! Abhijeet sir Daya sir ko kyu kidnap karege?

ACP - Yeh sab baad mai pata karege... Iss waqt Aakash se satark rehna zaruri hai

Pankaj - Aakash se? Kyu sir? Woh toh Daya sir ka dost hai na!

ACP - Woh koi Daya ka dost nahi hai! Haa police officer zaroor hai... Uska ID fake nahi hai... Usne kaha tha ki woh police training mai Daya ke saath tha... Maine pata kiya... Daya ki batch mai koi Aakash naam ka admi tha hi nahi

Purvi - Sir appko uspar shak kab hua?

ACP - Ajj hi... Jab mai Abhijeet se mila... (Seeing them about to ask about Abhijeet) Sab batauga... Lekin abhi nahi... Jab mai Abhijeet se mila tha tab Aakash mere piche tha! Mai Abhijeet ka picha kar raha tha aur woh mera... Usse yeh bhi pata hai ki Abhijeet zinda hai... Lekin abhi jab maine tum logo ke samne yeh kaha ki Daya ko Abhijeet ne kidnap kiya hai usne aisa pretend kiya ki usse kuch nahi pata! Chalak hai... Lekin itna nahi ki usse yeh samajh jaye ki mujhe uska sach pata hai

Freedy - Toh phir sir abhi uske wapas aane par pakate hai usse!

ACP - Abhi nahi! Agar abhi usse pakda toh uska maksad pata nahi chalega... Usse apna kaam karne do, hum apna karege... Lekin usse baat wahi pata chalni chahiye jo hum chahte hai... Abhi waqt nahi hai... Ajj sham ko tum sab mere ghar dinner pe aana... Salunkhe aur Tarika ko bhi le kar aana... Mai sab batauga... Mere ghar mai Aakash bina meri permission ke nahi aa sakta

           In the evening CID team joined ACP sir at his home for dinner... There ACP sir told them all that he knew... Team was still unable to believe that Abhijeet fired on Daya but now their first priority was to find Abhijeet and Daya... They could look into other matters later... So they joined hands with ACP in finding duo...__________________________________________

            Here... Duo reached a small motel wherein they could easily get room even with Abhijeet's fake ID of Karan... They had to find a new place to stay as they could not go back in the chawl as ACP sir knew about that place

*Room balcony*

           Abhijeet and Daya were sitting on cane chairs with a coffee mug in their hand...

Daya - Abhijeet yaha rehne mai thoda risk nahi hai? Tum toh disguise mai ho... Agar kisi ne mujhe pehchan liya toh?

Abhijeet - Nahi pehchanaga koi... Bas 4 din ki baat hai... Phir yeh sab karne ki zarurat hi nahi hogi

Daya - Matlab? 4 din baad kya hone wala hai?

Abhijeet - Bomb blast... Jo mai hone nahi dunga

Daya - Abhijeet in terrorists ka plan kya hai? Aur tum karne kya wale ho?

Abhijeet - Plan... Hmm... Terrorists ka plan yeh hai ki 4 din baad woh ek bomb blast karege... IT park mai... Uss IT park mai sari multinational companies ke offices aur headquarters hai... Sab companies ka apna apna alag complex hai jisme uss company ki kam se kam 20 se 25 multi storied towers hai... Yeh bomb blast aise hi ek IT consultation service provide karne wali company ke complex mai hoga... Company ki main building mai... Bomb ki range bohot zayada hai... Pura complex udd jayega... Includes 21 buildings each 18 storied... Waha par 9,000 log kaam karte hai...

Daya - What!!! 9,000 log! Boss iss blast ko rokna hoga kisi bhi halat mai!

Abhijeet - Blast ko rokne ka sirf ek tarika hai... Aur woh yeh ki bomb ko activate hi na hone diya jaye... Woh bomb ek remote se activate hota hai... Aur woh remote un terrorists ke paas hai

Daya - Toh phir kuch bhi karke hume uss remote tak pauchna hoga!

Abhijeet - Abhi nahi pauchah sakte... Kyuki bomb ka remote uss group ke paas nahi hai jiske saath mai abhi hu...

Daya - Matlab?

Abhijeet - Matlab yeh ki yeh terrorist organization ek company ki tarah kaam karti hai... Jisme alag alag departments hai magar woh dono ek dusre se mix up nahi hote... Haa woh ek dusre se linked zaroor hai lekin ek dusre ke kaam se koi lena dena nahi... Ek group ka kaam bomb banana hai... Dusre ka kaam bomb banane ke liye jo resources chahiye usse smuggle karna... Ek group paiso ki arrangement karta hai jo inke plan ko anjam dene ke liye chahiye... Mai abhi jis group mai hu, uss group ka kaam police, intelligence agencies, CBI, CID pe nazar rakhna hai... Agar kisi ko inke plan ke baare mai pata chala yaa phir koi bhi officer agar iss case ko investigate karne lage toh usse maar dalo... Inka yahi kaam hai... Har group mai 5/6 log aur ek unka head... This is how they work... In sab ke piche mastermind kon hai yeh toh inhe kudh bhi nahi pata... Bas upar se jo order aata hai, usse pura kar dete hai

Daya - Toh boss, inn sab ko pakadege kaise? Pakadna toh ek saath hi padega... Agar kisi ek group pakad liya toh bhi koi fayeda nahi hoga... Woh baki log apne plan ko phir anjam denge!

Abhijeet - Sahi bol rahe ho... Pakad na sab ko saath mai hi padega... Aur uska sirf ek tarika hai... Jab 4 din baad woh uss bomb ko plant karege tab woh saare log uss ek jagah honge... Sab ka apna apna ek role hai... Kisi ko security crack karni hai, toh kisiko kisi admi ka dhyan bhatkana hai... Toh kisi ko sirf aas paas nazar rakhni hai... Bomb plant karne ke baad woh sab waha se nikal jayege... Alag alag gadiyo se alag rasto par... Par milege ek hi jagah... Waha pauchkar remote se woh uss bomb ko activate karege... Uss jagah par pauchne mai unhe exact 32 minutes lagege... Yeh unhone hi calculate kiya hai... Uss jagah hume unhe pakadna hai... Bomb activate karne se pehle... Agar woh bomb activate nahi hua toh bomb lagane ka kuch matlab hi nahi hai... Bomb phatega hi nahi