Atish-e-Dillagi

CHAPTER # 23 

 " Mujhy baba ki ik diary mili thi . Woh is tarah sy likhi gai hai ky mujh sy hi Saari batein ki gai hon Or baba Sab janty hon ky woh mujhy akela chor kar jany Waly hain . Or mujhy in sab cheezon ka samna Karna pary ga . Unko Andaza tha ky mein kamzor par jau gi . Diary parhty hue esa lag raha tha ky baba Bilkul mere samne bethe hon . Or woh khud mujh sy yeh sab batein kar rahy hon . " 

Maira yousaf sahb ko batate hue ro di thi . Woh musalsal be awaaz ro rahi thi . Yousaf bhi apny dost ka zikar sun kar abdida ho gaye thy .

Kabhi Kabhi humein esa lagta hy ky hum logo ko Bhool Gaye hain ya phir Faramosh kr bethe hain or Jab unki kahi koi bat , koi gissa , koi kahani Jo un sy mansub ho woh yad aye tou hum bikharny lagty hain . Or khud ko sametny mein Bhi phir waqt darkaar hota hy . 

Sirf waqt ki hi tou kahani hy . 

" Hosla rakho beta .

Humein Allah ky kiye Gaye har Faisly ko qubool karna parta hy . Keo ky woh Sab janta hy ky kis ky liye kiya behtar hy . Bas insan ko tou chahiye ky us Rab ki di Hui bebasi mein bhi raazi rahy . Taky woh rab raazi ho jaye . OR jab Rab raazi ho jata hy na beta tou phir zindagi ky har mor par khushian khud hi dastak dene lagti hain . Woh rab hy hamara . Yeh azmaish hy ap par beta isy hosly ky saath or himmat ky saath guzaro . " 

Yousaf ny boht hi achy andaaz sy samjhaya tha or Maira kisi trans ki si kefiat mein unko sun rahi thi . Usko yousaf sahb mein Bhi Apny baba ka aks dikha tha .

" G uncle ." 

Woh kehti muskura di thi .

: " Dost tha woh Mera Yaar. Dosti ka hi man rakh leta . Woh janta tha mein Rabia sy pyaar karta tha lekin usny kia kiya yar. " 

Hussain shah is waqt Bilkul toot chuky thy . Unko Rabia Khan ki Shaadi ka malum hua tha ky Asghar ny un sy zabardasti Shadi kr li hy . 

Unko apny dukh sy zayada yeh dukh tha ky unho ny Rabia ki ankhon mein bhi apny liye jazbaat dekhy thy . Unko apni parwah nahi thin unko sirf or sirf Rabia khan ki fikar thi . Keo ky woh unko khush dekhna Chahty thy . 

" Woh ik baar sirf bata deta ky usko Rabia sy shadi karni hy . Rabia khan ka dedar kiya unki awaaz Bhi khud par haram samjh leta .Ik baar to keh deta woh mujhy . Asghar khan tere liye tou Hussain shah apna sab kuch tere qadmon mein rakh dy . Tu ik bar iqrar kr leta Muj sy ." 

Hussain shah ki ankhon sy musalsal ansu beh rahy thy .

Woh is qadar apny dost ky hi agy khulty thy . Abhi woh Mustafa khan ky saath gari mein thy .

Mustafa ko pata tha ky Hussain kabhi ghalat nahi ho sakta . isi liye abhi Bhi woh Hussain shah ky saath hi thy .

Raat ka waqt tha or Mustafa gari chala raha tha or hussain sath wali seat par bethy thy . 

Or ab woh ro ro kar so chuky thy . Mustafa ko apny dost par boht tars aa raha tha or Asghar par Shadid gussa . Koi kese Kisi ki mohabbat cheen leta hy yeh jane bagher ky agly shaqs ki jeene ki wajah ho woh.