CHAPTER #42
Tareek raat mein Tez Barish ky doran woh bhaag rai thi ,Paglon ki tarah jese koi usky peeche laga ho or woh apni jan bacha rahi ho . Usy mehsus hua tha ky usko sab chor chuky hain .
Usky paon shadid zakhmi ho chuky thy . Bhaag bhaag kar uska sans Bhi phool chuka tha . Uska khubsurat safaid Frock jharion mein atak atak kar kafi phat chuka tha . Achanak bhagty bhagty uska paon kisi cheez sy lagta hy woh boht zor sy agy Ja girti hy .Ab us mein mazeed sakat baqi na thi ky woh uthti or dobara bhagti. Usky pury jism sy dard ki teesyn uth rai thin . Usy achanak apne boht qareeb ik hawela nazar ata hy .Or phir uski mehmali kurakht awaaz usky kano mein parti hy .
" Utho shehzadi dobara bhaago . Jitna dur Ja sakti ho jao. Tumhara har rasta mujh par aa kar khatam hota hy . Tumhari manzil sirf mein hun . Sirf mein .
Bhago shehzadi ,
Utho jaldi ."
" Utho Maira jaldi.
Tum theek ho ?"
Awazein dagmag hone lagi thin lekin ab chehra samne kisi or ka tha . Ab chehra Waleed ka tha Jo usko nind sy utha raha tha Jo shaid kisi bure khawab ki wajah sy dar chuki thi .
" Tum theek ho Maira , Yeh lo pani pi lo ."
Waleed usko pur sukoon karne ki koshish kar raha tha jis ka pura badan paseene sy tar tha .
Woh pani ka glass pakarty ghata ghat sara pani pi gai thi. Or ab lambe lambe sans le kar tanafas sambhal rahi thi .
Waleed usko bilkul apne sath lagaye halka halka usky balon mein hath pher raha tha .Ab woh kafi behtr lag rai thi .
" Bura khawab tha woh bs Bhool jao. Mein tumhare sath hun ."
Maira Bhi pursukoon ho kar so chuki thi .
Usne zor sy Waleed ki shirt ko apny dono hathon mein zor sy kasa hua tha .Jese agar chor de gi to woh dur ho jaye ga .
Waleed ahista ahista usky balon mein hath chala raha tha or phir thori Der bad woh pursukoon so chuki thi .
Lekin Waleed ki nind bhaag chuki thi . Uski nind mein hoti barbarahat woh sun chuka tha . Or sahi mein pareshan ho chuka tha . Or ab woh shadid thand mein balcony mein khara cigratte ky kash bhar raha tha . Kafi der bad fajr ki azanein hone lagi thin . Usny wazu banaya or namaaz ky liye masjid chala gaya .
" Kiya hua Wali beta pareshan lag rey ho aj ?"
Namaaz ky bad woh wohi betha tha jab masjid ky imam usky pas aye . Jin ky pas aksar woh aya karta tha .
" Kuch ni imam sahb . Sab theek hy ."
Usne Bhi jhooti muskurahat ky sath kaha tha .
" Itne salon sy tumhein janta hun . Jab Bhi preshan hoty ho tumhari ankhein bujhi bujhi lagne lagti hain . Or muskurahat bhi chin jati hy. Lekin aj tum zayada hi khamosh lag rey ho ."
" Imam sahb kisi ko dhoka Deny ya dill torny ki kiya saza hy ?"
Usne ahistagi sy ik sawaal poocha tha .
" Saza to iski boht hy beta .Jab tak Allah ky logo ko khush ni rakho gy woh khush nai hoga. Woh khuda hy apne haqooq maaf kar deta hy apni makhlook ky haqooq or unky sath Hui ziadti maaf ni karta .
Lekin kisi ko dhoky mein rakhny ki Bhi do iqsaam hein beta .
Ik yeh ky ap ky bagher wajah ky esa krein or dusri yeh ky ap us shaks ki bhalai ky liye esa karein . Tou is mein harj nahi ."
Imam sahb ny usko boht aram sy bat smjhai thi . Kafi hat tak usko smjh Bhi aa gai thi .Or woh ab uth kar jane laga tha .
" Bas ik bat yad rakhna Waleed beta . Hum aksar sach batane mein der kar dete hain . Woh sach phir wabaly Jan ban jata hy or surat mein dil tootaty hain . Bs khayal rakhna beta."
" G imam Sahb."
Woh bas itna Kehta Ja chuka tha .