Vivan apne ghar aakr smetne lgta hai jisme apne sath laya jruri sman or itne wqt me us jgh par ikthhi ki hui yade thi.
Apne kamre ki ek tuti hui si kursi par betha vivan apne guzro kuch dino ki khubsurat yado ke bare me sochne lagta hai , lekin na jane kyo uske chehre par is exam ko fail krne ka jyda sa bhi dukh njr nhi aarha tha.
Vivan luthar ke bare me sochte huye apne pendent ko hath me pkdta hai or us watch ko wapas nikalne ki koshish krta hai lekin ab wo usse puri tarah se jud chuki thi.
Vivan chahta tha ki wo luthar ko yeh chij wapas krde qki isi ki wjh se viwan ke jivan me kuch ajibo garib chije hui thi or akhir luthar ke liye ye chij bhi kafi kimati thi. Isi liye jab vivan apne nakhuno ke istemal se uspr zor dene lagta hai to vivan ki ungli me khun aane lgta hai. Or khun lagte hi us locket ki chamak ab lal rang ki hojati hai . Sath hi ab us pardarshi pendent me luthar ki di hui us ghadi ko bhi dekha ja skta tha. Lekin vivan in chijo ko notice nh krta or bandage dhundhne lagta hai. Or isi ke sath ek bar fir use darwaje ki pite jane ki awaj ati hai.
Lekin vivan is bar bina gate khole hi bhap leta hai ki darwaje par kon hai lekin vivan firse wo sari chije face nahi krna chahta tha jo usne luthar ke assignment me jyda jankari dene ki wjh se kri thi. Isliye bahar khde us insan se bchte huye vivan apne ghar ki khidki se niche chhalang lga deta hai , lekin kismat se wo ek kpas ki gadi me girta hai or usi gadi ki madad se chhupte chhuapate wo shahar se dur ek band padi factory me pahuch jata hai. Jab wo gadi se niche utarta hai to wo dekhta hai ki uske charo taraf ek bda jangal or ek bejan padi factory hai or jab wo us gadi me dekhta hai to uska driver bhi wha n tha jis wjh se vivan ko kuch gadbad lgti hai.
Or vivan factory ki or jane lgta hai jisse use koi insan mile jo use uske ghar ka pta bta sake. Lekin factory me jane se pahle wo factory ke andr s aarhi kuch awazo ko sunta hai. Lekin kisi bhi conclusion par wo aapata iske pahle koi uske sir par ek zordar war karta hai jisse vivan wahi behosh hojata hai. Or jab wo apni ankhe kholta hai to wo khudko usi factory me bandha hua pata hai.
Aankhe kholte hi vivan apne samne ek khunkhar jangli kutte ko dekh dar jata hai jo lgatar usi ko dekh rh tha.
Lekin us kutte ko chen se bndha dekh wo thoda relax hota hai, itne me wha ek sharabi nashe me us kutte ko galiya dene lgta hai. Or uski lyf m horhi sabhi galat chijo ka dosh dete huye ab use marne bhi lgta hai. Vivan ko ye sab bilkul psnd nahi ata qki ek bejuban ko marna wo bhi bina galti ke akhir kis bhale insan ko jayaz lgega. Lekin ayan is halat me kuch kar pane ki halat me nahi tha. Or ab wo behoshi ka natak krne lgta hai.jisse ki wo situation ko bina kisi ki najro me aay or bhi ache tarike se observe kr paye.
Tabhi us sharabi insan ke kuch or sathi wha ate hai or wha vivan ko puri trike se ignor kr purani murtiyo or antique ko smuggle karne ki bate krte hai. Itne me unme se ek sharabi ko vivan ke behosh hone ki bat pr shak hota hai or jese hi is bat ki pushti ke liye wo vivan ko ek bade dande se marne hi wala hota hai ki tabi use dusri taraf se koi saman girne ki awaj ati hai.
Wo sharabi ab vivn ko chor us awaj ki or chla jata hai qki kisi or insan ki upsthiti unke kisi bhi illegal kam ke liye khtra sabit hoskti thi.
Itne me vivan apne piche arvind unkle ko dekhta hai jo ki vivan ki rassiya katne ki koshish kr rhe the taki use yha se bchaya ja sake. Lekin akhir arvind unkle yha kese. Qki ek wrighter ka shahar ke ese sunsan shetra me akhir kya kam hoskta hai.
Vivan apne swalo ke jwab ki prapti se jyda us jgh se bchna jruri smjhta hai, qki us sharabi ne abhi uske samne ek kutte ko badi bedardi se mara tha to ese log kabhi ki kisi karan ke mohtaj nahi hoti unse kamjor sthiti ke kisi insan ya janvar ko marne ke liye. Or vivan jesa koi bhi insan apni jwani ke dino me hi itni berahami se mrna nahi chahega.
Us factory se kuch adhe ghante bhagne ke bad dono ne ek surkshit jagah dekhte huye wha rukna sahi smjha.
Vivan : aakhir aap hai kon or aap...
Vivan aage kuch bhi bol pata uske pahle unkle bol pade :
Pahle tum btao ki akhir tum kon ho. Mene apne sabhi resource or connections ka istemal kar liya lekin fir bhi me tumhare sahi Identity ko malum nahi kr pa rha or esa meri puri zindagi me pahli bar hua hai. Tum jnte bhi ho akhir tumne ky kiya hai. Or is wqt shahar ke halat kya hai.
Vivan unkle ko is trike se bolta dekh kuch smjh nhi pata ki akhir usne esa ky krdiya. Unkle use aage kuch btane se pahle uske hath me pichhali 2 tarikho ka akhbar pkdate huye bolte hai : behtar hoga tum khud dekhlo.
Ek taraf vivan akhbar dekhrha tha or dusri taraf unkle delhi shahar me chal rhi itihas ki sbse badi tbahi ko byan kr rhe the.
Pichhale 3 dino se angreji shasan ne delhi shahar par emergency declare kr rkhi or iske bavjud bhi 1 ghanta bhi shahr ka shanti se nahi bita. Roj lakho ki snkhya m log sarkari afsaro or fojiyo par hmla kr rhe he mano unke dil se kisine mot ke dar ko mita diya ho. Lekin meri njr me esi koi shakti lalach ya motivation aaj tak nahi bna jo itni bdi insani bheed ko kuch karne ke liya mna sake. Aaj tk huye sabhi vidroh ki tulna agar is bar se ki jay to wo sabhi ghnas me tinka dhundhna ke sman hongi.
Or qki muje pahle se tumpr shak tha isiliye jab mene or khoj bin kari to paya ki in sab chijo ka karan whi kitab hai jo ki tumne university ke flor master or ek anjan bude vykti ko di thi. Jisme ki tumne kuch aam se dikhne wale antiques ke bare me kafi detail me kuch bate kahi thi jo dekhne me ekdm bachkani or fairytale ki kahaniyo jesi thi. Lekin ky tum jante ho us flor master ke ek dost jo ki ek bda patrkar tha usne jab tumhari kitab ke kuchh panne jigyasa wash pade to wo tumhari btayi kuch bato se relate kr paya.
Or yhi se shuruaat hui is puri tbahi ki. Qki us ptrkar ne tumhari kitab me likhi ek "Transegoblet" nam ke antique ko pahle bhi dekha tha jiski dhundhli yade uske dimag me thi lekin use us din se judi koi bhi yad kafi koshish krne par bhi yad nhi ai lekin tumhari kitab me likhi jankari se usne us din kisi or k vash me aakr ki hui apni galtiyo ko jan liya.
Or jese jese usne tumhari kitab ke panne plte wese wese uski jigyasa bdti rhi or uske man me khyal aya ki ky ho yadi tumhari likhi us kitab ki sabhi jankari puri trike se sach ho. Isi liye usne wo kardiya jo use nahi krna tha. Qki wo ek noble family se tha isliye use in chijo me jyda wqt nhi lga or agle din ke pahle akhbar me usne tumhari kitab ki jankari ke kuch hisso ko pahli ke rup me chhpa diya jisse ki usi ki trh kafi sare logo ko apni zindagi ke wo pal yad ane lage jab unhone apni icha ke bina lekin apne hatho se kuch kafi bhyanak kiya tha. Or isi ke sath un antique chijo ka asli upyog bhi ab kafi logo ke samne aagya.
Wo sabhi bade ghrane jo is bat ko jante the wo nahi chahte the ki ye bate bahr aay , wo sabhi ab tumhara shikar krne ke liye pure shahar me tumhe dhundh rhe hai or yakin mano ki agar tum is wqt unke samne ate ho to tumhe koi bhi chij unse bcha nhi payegi.
Vivan ko unkle ki bato par puri tarah yakin nahi tha qki usne jo bate likhi thi uske hisab se wo kafi sadharan chijr thi.
Or isiliye use yakin dilane ke liye unkle use us jangal ki ek pahadi par lejate hai jha se pure shahar ko dekha jaskta tha. Or vivan wo mnjr dekh kr kafi confuse hota hai. Jha lagbhag pura delhi shahar aag ki chapet me tha or wo aag jise mano swayam agni devta ka sdev prjvalit rhne ka vardan prapt ho.
Lekin jab wo unkle ko btane ke liye un chijo ko yad krne ki koshish krta hai to use yad hi nahi tha ki akhir usne us kitab me likha kya tha. Vivan ko gyaan ka jyda hoga vardan se jyda shrap lgne lgti hai. Qki wo samay ane par use yad h nh kr pa rha tha.
Phad se niche utrte huye unkle ki tbiyt thodi bigdne lgti hai or isi ke sath unkle khanste huye apne muh se khun nikalne lgte hai, lekin abhi unkle is bare me vivan se koi bat nahi krna chahte the.
Unhe wha bat krte huye kafi samay guzar jata hai or isi liye aaj rat wo dono usi jagah par rukne ka fesla krte hai. Jangal se kuch sukhi lkdiya bator kr aag jlana or ek purane per par ek temporary bad bnane jesi chije ashwin unkle kafi asani se kar pa rhe the, jabki vivan in chijo me kafi nya tha.
Inhi sab kamo ke bich vivan, unkle ki gardan par ek nishan dekh leta hai. Jo ki kafi purana lg rh tha. Jab vivan unkle se us bare me puchhta hai to wo bat bdlne ki koshish krte hai. Vivan ko kuch shak hochuka tha lekin wo abi jyda kuch bolta nhi.
Lekin jese hi uski njr kuch der bad firse unkl ke gale pr pdti hai to wo nishan ab wha nhi tha. Ab vivan smj chuka tha ki wo galat insan ke sath hai or ab wo bat krte huye hklana or chehre pr psina ana jesi chijo ko rok nhi pata. Jisse unkle bhi ab smjh jate hai ki vivan satrk hochuka hai.
Jese hi vivan ka dhyan nhi hota unkle pichhe se vivan par apne chaku se var krne ki koshish krte hai lekin ek protective shield vivan ko bcha leti hai jisse bounce hokar unkle kafi dur fike jate hai. Or wha kisi pathhthar ki chot ke karan whi behosh bhi hojate hai.
Vivah himmat karte huye unke pas jata hai or unke kapdo me se unki id ya koi document jesi chije dhundhne lgta hai.
Or khushkismati se hmare hero ko unkle ki ek real id miljati hai jisme ki wo ek royal agent tha or uski umr matr 28 sal thi.
Lekin vivan ye dekh kar chok jata hai ki us insan ke behosh hote hi uska chehra bdlne lgta hai or ab wo koi dusra hi insan bn chuka tha jisase ki vivan ab tk ki zindagi me kabi nhi mila tha.
Ab vivan us insan ki or achi trh se tlashi leta hai to vivan ko uski jab se ek chhoti si belnakar khokli dandi milti hai jispr dragon ki aakriti ko bnaya hua tha. Vivan bina jyda soche use apne pas rkhleta hai. Or isi ke sath wo apne as ps ka pura mahol bdlte huye dekh pata hai.
Jha wo itne smy se khudko ek jngal me smjh rha tha ab wo puri jagah ek kude ke medan me bdl chuki thi jiske kuch hi dur ek bina chhat ka karma tha , jiske center me lage ek pipe ko dekh vivan smj jata hai ki ye whi factory hai jisme wo kuch der pahle bndha hua tha. Lekin ab iska apperance pura bdl chuka hai or sath hi yha us mare huye kutte ya us kpas ki gadu ka bhi koi nishan nahi hai.
Vivan ko us jgh se kuch dur chalkr apna shahar bhi miljata hai jha use sabhi chije or log pahle ki tarah hi apne kam me mashgul milte hai. Wo ye dekh bda khush tha or muskurate huye apne ghar ki taraf bdne lgta hai ki tabhi use samne se chintu bhagta hua usi ki taraf ata njr ata hai.
Jo ki khushi ke mare joro se chillaye ja rha tha :
Eye vivan seth chal ab jaldi jeb dhiilli kari or uska sbse bda note mere hath pe rakh , na nukur krega to bhut pchtayga btadeta hu.
Vivan : are bhai lekin esa ky hua hai ki tu itna khush hai. Pr mere pas abi pese nhi hai dene ke liye.
Chintu : ky thakela dost mila hai, sab kanjus. Chal koi ni apun tujse 500 rs lega ye chij ke bdle abi me bs tere wade se hi km chla lega. Bol ky bolta hai.
Vivan : bhai lekin bina jane ki muje milne ky wala me kese wada krdu. Ab me bhi koi amir ghar se to hu nhi..
Itne me wha mohsin bhai bhi phuch jate hai jo khud bhi kafi khush the or bolte hai : krdo miya wada krdo nhi to ye tumhara exam addmission form tumhe nhi dega.
Exam dena ki nahi.
Ha miya , tum us exam ke liye select hogye or pta hai ky, mr vivek khud tumhare ghar ye deliver krne aay the. Lekin pichhle 3 dino se tum kahi gyb ho to is chintu ne wo letter apne pas rkha hai.
Or ha miyan tumhe 23 tarikh ko principal sir se milne university jana hai esa muje vivek ne kha. Ab is bat me kitna sach he wo to tumhe wha jakr hi pta chalega.
Viwan (khush hote huye) : bhaijan kya bat sunai he aapne. Aaj ki aapki dawat meri taraf se.
Or chintu ko gad me uthakar ghumane lagta hai. Or isi ke sth use yd ata hai.
Lekin 23 tarikh wo to kal hena. Agar principal sir ne whi par mujse kuch swal krliye to. Or kya ho agar ye ek hidden tst hua. Halaki mera locket meri kafi help krta hai lekin me har wqt isi par depent to nhi rh skta.
Ye sochkar viwan dono ko alvida kar jaldi jaldi me bhagte huye kahta hai me aapse bad me milta hu kuch kam yad aagya.
Chintu se exam addmission letter leta hua vivan university pahuchta hai or apna letter dikhata hua sidha ek badi si librery me entry krta hai jha sirf puratatvik vibhag se judi jankari thi or yeh librery bhi total 9 flor ki thi. Jha students ko 4 flor or alg alg levels ke professors ko alg alg flor pr jane ki permission thi.
Vivan apne exam addmission letter ke sahare sidhe 5th floor ka acces leleta hai.
Jaha kisi naye insan ko flor se flor chadate huye dekh kuch badmsh students use rok dete hai. Jinhe viwan apna letter dikhakr wha se jane lgta hai. Lekin itne me unhi me se ek ldka jiske hath par ajib se kuch lal dhabbe the , wo vivan ko rokte huye kahta hai.
Mera nam louise hai or me is academic ka 2nd grade student hu. Mene aaj se pahle apko kabi nhi dekha kya aap apna grade ya family ka nam bta skte ho.
Viwan : mera nam viwan hai or me yha puratatv vibhag ke professor ke liye hone wale test ko dene aya hu.
Yadi ab aapki jigyasa mit gayi ho to me ja skta hu qki muje kuch kitabo ko pdne ki urgent jarurt hai.
Louise use rokta hua kahta hai:
Umr me ap 22 sal se jyda ke nahi lagte or fir bhi aap chahte he me yakin karu ki mujhse bhi kam umr ka insan is University ke professor bnne ke exam ko dene aya hai.
Ky me ek bar fir apka letter dekh skta hu.
Louise ka arrogance uski shakal par saf njr aarha tha , or uske pahnave se wo kisi badi family ka master lag rha tha.
Lekin vivan ab uski bato se preshan hochuka tha or vivan kuch soch or dekhkar uske kan me kuch fusfusane lagta hai. Jo sunkar louise ke per kanpne lagte hai or wo vivan se mafi mangta hua apne dosto ke sath wha se chla jata hai.
Viwan jese hi apni jarurat ki sabhi kitabe lekr table par bethta hai ki tabhi uske pas ek khubsurat si ladki aakr beth jati hai. Jiski umr kuch 24 sal rahi hogi. Viwan use dekhte hi usse bat karna chahta tha lekin ye koi esi jgh nahi thi.
Viwan apne dwara ikathhi ki hui un 11 kitabo ko kuch hi ghanto me pdleta ho or viwan ki speed ko dekh wo ladki halki si muskurati hai or wha se uthkar dusri table par bethne chalijati hai. Lekin viwan apni pdhai me itna magan tha ki use malum hi nhi chla ki wo ladki kab wha se uthkr chali gyi. Ab qki viwan pahle se hi kafi hoshiyar tha or us pandent ki wjh se ab uski speed bhi kafi bd chuki hai to viwan ke liye chijo ko yad rkhna ab kafi jyda asan hochuka tha.
Or isi krm me vivan apni kitabo ko badlne ke liye librery ke dusre sections me phuchta hai jha use firse whi ladki kuch kitabe dhundhte huye milti hai. Vivan yha firse usse bat krne ki jgh apne kam me lga rhta hai .
Ki tabhi use piche se awaj ati hai :
Lagta hai tum yha naye aay ho , lekin me pahle hi tumhe warn kardu ki tumhare dimag ke sare faltu khyal koi kam nahi ane wale. Isliye behtar rhega agar tum mujse dur raho.
Vivan kuch smj pata ya is bat pr react bhi kr pata iske pahle whi ldki apni bat bolkr wha se chalijati hai. Viwan sochta hai :
Pagal hai shayad ! Par muje kya ,choro.
Or vivan isi tarah librery me ghanto tak kitabe chhanta rhta hai or apne dimag ko or bhi jyda vishal karne ki koshish jari rakhta hai. Bina time ka khyal kre wo whi sojata hai jha jab uski ankh khulti hai to already 10 baj chuke the or use 10.15 par principal sir ke office phuchna tha.
Yhi sochkr wo dodta hua librery se bahar niklta hai. Jha bahar niklte huye louise use dekhleta hai or uski jaldbazi ko dekh uski help krne ko kahta hai.
Antatah vivan ki louice ki help ko accept krta hai or dono louice ki bike se principal ke room tak pahuch jate hai. Jo ki librery se kafi dur hone ke sath hi kafi jyda tricky rasta bhi tha.
Or viwan mahsus krta hai yadi wo khud aane ki koshish krta to wo kafi let hojata hai to isliye ab wo louice ko uski help ke liye thanks bolte huye bad m milne ke liye kahta tha.
Lekin aakhir louice jesa ek arrogante ldka akhir kyu viwan ko help offer krega. Shayad is swal ka jwab ham jante hai ya kahi na kahi hame iska hint milchuka hai.