chapter 11: "Kuro – Woh Kauwa Jo Sab Jaanta Tha"

Chapter 11: "Kuro – Woh Kauwa Jo Sab Jaanta Tha"

---

Scene 1: Academy ke Classroom – A-1 Class

Royal Avalon Academy ke ek grand, spell-engraved classroom mein students baithke apni notebooks khol rahe hote hain. Aaj ka mood serious hai, kyunki Professor Elowen khud class le rahi hain – ek strict aur intelligent mage, jinki reputation hai ki woh kisi ko spoon-feeding nahi karti.

> Professor Elowen (cold tone mein):

"Aaj hum Summoning Magic ke bare mein seekhne wale hain. Summoning koi khel nahi, ek contract hai. Tumhare mana aur tumhari icchaon ka ek aisa mel, jisme galti ki koi gunjaish nahi hoti."

Sab students thoda tense ho jaate hain. Hayashi quietly sab observe karta hai, lekin uski aankhon mein curiosity clearly dikhti hai.

> Professor Elowen (chalk se circle banate hue):

"Basic Summoning Circle draw karo, aur apni mana ko concentrate karo. Jo entity tumhare vibration se connect hogi, wahi tumhara first summon banegi."

---

Scene 2: Students Try Their First Summon

Ek ek kar ke students summon karne lagte hain:

Reinhardt summon karta hai ek tough-looking metal armadillo jise woh "Boulder" naam deta hai.

Marianne Drayworth summon karti hai ek beautiful blue ice sprite jo uski fingers ke aas-paas ghoomti hai.

Do teen students fail bhi karte hain — mana imbalance, incomplete circles.

Fir aata hai Hayashi ka number.

Woh ek dam se silent ho jaata hai. Circle draw karta hai, magar jaise hi mana channel karta hai – circle crash ho jaata hai!

CRACK!

Ek halki blast hoti hai, aur ek blue flare uthta hai. Sab shock mein.

> Professor Elowen (surprised aur naraz):

"Tumhari mana… is level ke summoning ke liye zyada powerful hai. Tumhara base imbalance hai. Ye… abnormal hai."

Hayashi confused hota hai, lekin phir aankh band karta hai. Mann mein kehta hai:

> Hayashi:

"Mujhe ek aisa summon chahiye… jo bol sake. Jo guide kare. Jo... mujhe sun sake."

Woh bina kisi circle ke haath uthata hai — ek alag energy surge karta hai. Hawaa bhari bhari ho jaati hai.

Aur tabhi… ek KAALAA KAUWA prakat hota hai.

---

Scene 3: Enter – Kuro, The Talking Crow

> Kuro (dramatic entry ke sath):

"O bhai! Aakhir bula hi liya! Main toh void mein pak gaya tha boredom ke saath!"

Classroom mein dead silence. Sabki aankhein phat jaati hain. Professor Elowen speechless.

> Student:

"Yeh... yeh kauwa bola?!"

> Kuro (Hayashi ki taraf udta hua):

"Main hu Kuro – Tera pehla aur aakhri Summon. Main baatein karta hu, raaz rakhta hu, aur future bhi dekh sakta hu... agar mood ho toh."

> Reinhardt (shock mein):

"Ye toh... mythical summon hai!"

Elowen finally khud ko sambhalti hai.

> Professor Elowen:

"Ye... ye toh ancient-grade summon hai. Tum... tum ho kaun?"

Hayashi confused hai, lekin andar se woh jaanta hai – kuch toh alag hai.

---

Scene 4: Palace – King Aur Queen Watching via Crystal Ball

Palace ke andar ek chhupi hui magical chamber mein King Aldric aur Queen Seraphina crystal ball se classroom observe kar rahe hote hain.

> King Aldric (soft smile ke saath):

"Bilkul apne pita pe gaya hai... fearless. Mana ka control bhi same."

> Queen Seraphina (nostalgic hoke):

"Aur uski mana... Julius ki tarah vibrate karti hai. Shant par gehri, jaise ek purana dard jisme aastha chhupi ho."

> King:

"Ho sakta hai... uska path uske baap se bhi zyada kathin ho."

---

Scene 5: Raat – Hayashi aur Kuro Rooftop pe

Chhat par Hayashi aur Kuro baithe hote hain. Raat ka asmaan chamak raha hota hai, aur hawa thodi thandi hoti hai.

Hayashi flying magic seekhna chahta hai. Kuro usse help karne ki koshish karta hai – apne typical sarcastic style mein.

> Kuro:

"Oye chhote! Flying technique seekhni hai? Toh kaan kholo – pehle dimaag se udna seekh!"

Hayashi jump karta hai – aur faceplant karta hai.

> Kuro (hans ke):

"Tu toh aloo ke jaise gira! Are system se puchh yaar, main comedian hu, instructor nahi!"

---

Scene 6: System Interface – First Time Chat

Hayashi aankhen band karta hai.

> Hayashi:

"System... mujhe flying technique sikhani hai. Kaise?"

System finally unlock hota hai:

> [System Notification:]

"Summoning Level 1 Reached. Advanced Commands Locked. Upgrade Required."

"Quest Unlocked: 'Bond with Your Summon' – Only Emotional Connection Can Unlock True Power."

Hayashi shock mein: sirf summon kar lena kaafi nahi – usse dil se connect hona hoga.

---

Final Scene: Kuro Looks At The Moon

Hayashi so jaata hai. Kuro chhupke se chhat ke kone pe baith jaata hai, aur chand ko dekhta hai.

> Kuro (slowly):

"Tere andar woh flame hai jo ya toh is duniya ko bacha lega… ya jala ke raakh kar dega.

Agar tujhe yaad aa gaya… tu kaun tha."

Kuro ki aankhon mein ek second ke liye Alicia jaisi blue glow chamakti hai.

Fade Out.

---

Episode end

---

Written by: vishnu(ashx07)

Support the Author | YouTube: ashikawax07