Sirr e Hidaya (Chapter 5)

"Ap ka andaza drust tha ye sherazio ke harkat ha. Talal ke mutabik 

Khatoon per hmla ek mnsoobe ke taht tha mager is ke asal wajah nahi maloom .Bach jnae wale larke ne ap ka naam lya ha aur NGO k pase parada smuggling ka adda hm ne tabah ker dya ab yawr shikast se dochar hone k baad ap k khilaf naya mahaz khole ga " 

ye keh ker Batish khamosh ho gaya 

" un se kisi bhi ghatya pan ke umeed rakhi ja skti ha shaher me hone wale zulm ke wajah hain wo .NGO k hwale se her kisam ke peshraft ke khaber hmein honi chahiye is kam ke lye admi taayinat karo aur jaha tak Khatoon ka masla ha pata karo wo kon ha aur sherazio ko akhir un se kya msla ha? 

Umer ne kaha

"Baba!Hale ke pukar per Usman khanzada ne mur ker usse dekha aur us ke nazro k Taaqub mein unhe wo tasweer nazar ae jis mein wo apne walid aur bhai k sath khare nazer aa rahe thee

"gg baba ke jaan bolo kya howa?" 

"Ek sawal poochna chahti hon ager ap ke ijazt ho ?"

" g beti poocho "unho ne pyar se kaha 

"Baba....kya dada jan ke wafat chacha ke mot k sadme se hoe thi ?"

us ne un ke dil azari k khof se darte howe poocha 

"Han...."goya kahi door se awaz ae 

"magar us din kya howa tha main janna chahti hn ku her cheez ko mujh se parde mein rakha gaya ha " hale ne kaha 

"Beti tmhein in sub cheezo se bachane k lye tum mera wahid asasa ho is hweli aur hmare khandan ka asasa ...tmhein kisi mushkil mein nahi dal sakta bus is lye"

Unho ne kaha 

"Magar baba main ab janna chahti hn..." us ne goya zid krte howe kaha

" sahab chai le ae hon ap tashreef laye.." Asiya ne itela de 

"hmm..chalo beti chai peete howe bat krte hain" usman sahb ne kaha

Hale ke himmat bandhi to yani wo usse batane wale thee

Ek gari sherazi manzil k darwaze per aa ker ruki guard ne foran darwaza khol dya .ye yawar sherazi k bigre howe sahbzade Asad sherazi ke thi .Wo bilashuba ek purkashish nojawan tha magar buri suhbat aur Nashe ke Lat ne usse ghlat rah per dal dya tha ye drhakikat taqat ka nasha tha .Us ne thak se gari ka darwaza band kya 

aur andr ke janib barh gaya is mahel numa ghar mein yawar sherazi bechain ghoom raha tha.Asad lounge mein mojood apne baap ko nazar andaz karte howe serhion ke taraf barh gaya 

"Asad..... !"yawar sherazi ke gusseli awaz us ke samaato se takrae 

wo wapis mura 

" Please Dad ab ap apni kisi nakami ke bharas mujh per na nikalye ga main already buhat thak chuka hon sona chahta hon " us ne kaha 

"yaha aao jaldi" unho ne kaha 

wo majbooran us taraf chal para 

"G kahye.." us k lhje mein bezari thi

" ye kya tarika ha ? puri puri raat tum bahr guzar dete ho sara din sote ho kuch maloom ha tmhein hm kis mushkil se dochar hain"

yawar ke awaz oonchi thi

" ab kya howa ha?" 

" kl rat hmare larko ne khanzada haweli ke gari ko roka magar us Somro nami bla ne hmare do larko ko mot k ghat utar dya ek zakhmi halat mein yahan puhncha ha " yawar ne jawab dya

" ohh ...pagl log . dad ap ne in ko khuli choot de rakhi ha bagher tayari k khanzado per hath dalna bewakoofi ha "

asad ne kaha

" bagher tayari k nahi gaye mager ahmako se ek larki na smbhali gae " 

yawar ne kaha

" By the way gari mein tha kon ?"asad ne poocha

" Hale Khanzada..." yawar ne dewar ko ghoorte howe jawab dya

"Ohh.." asad k lab sukre

" suna ha bhtt khobsort ha wo ap ko aisa nahi karna chahiye tha thk to ha na wo?" us ka andaz mazak urane wala tha

"shut up Asad just shut up..is cheez ko seriously lo" yawar dhara

" Main to serious hn wase ..Ap he un se dushmani per arree hain " 

wo abhi bhi sanjeeda nahi tha

" wase mujhe ap ke samajh nahi aati somro ke had tak to thk ha magar ap khamkha khanzado ko ku cher rahe kya masla ha un k sath? apne lye mushkil peda na karein.." Wo ye khta tezi se serhion ke taraf barh gaya 

" Tum nahi jante tum kuch nahi jante .." unho ne usse jata dkhtee howe kaha 

Somro Qasar ke chat per khara tha yahan se as pas ka elaka aur jungle wazih nazar ate thee us k hath mein doorbeen thi sath he chai rakhi thi 

" main mukhil ho sakta hn?" Batish ke awaz ae

" han han ao Batish " us n jawab dya 

Agha ap aram kya karein ap ke sihat per asar pre ga " Batish ne kaha

" Nahi Batish sardar hona asan nahi mujhe jalna ho ga takee main apne logo ko roshni de saku main ne khud ko maseeha kaha ha to maseehae ka haq ada karna ho ga " Umer ne jawab dya 

Bastish ke labo per shareer muskurahat ubhari 

" G agha ap thk kh rahe hain Wase main kal rat ka waqea apne zihan se mahv nahi ker pa rha .. yaqeenan ap bhi ......" 

umer ke ghoorti nazrein us ko khamosh krwa gae magar wo Batish he kya jise bat mukammal kye bina chain aa jaye

" wase agha wo mujhe kuch mukhtalif lagi Bahadur, mzboot, sabit qadam...wo khalaon mein dkhta bolta chala ja rha tha aur sath mein hatho se ishare bhi ker raha tha 

"Busss..."umer ne usse roka 

" ager yhi bat karni ha to tum ja skte ho " umer ne us ke taraf dkhte howe kaha 

" aree nahi bhai ..." wo abhi bhi muskara raha tha 

" HasbiAllah..." Umer ne lambi sans le kr kaha 

"Ao Hale betho " usman sahb ne kaha

Hale un k samne doosre sofe per beth gae 

" Baba jan mujhe ye baat hmesha preshan krti ha k chacha jan ko kis ne aur ku mara ? kya howa tah us waqt?"

wo uljhan ka shikar thi 

Usman khanzada ne ek lambi sans le 

" Beti ye un dino ke bat ha jab Jadan university jaya karta tha wo bilashuba ek khobsort jawan tha jise iradatan bar bar dekah jaye.

Khandan k tmam log us se rishta jorna chahte thee mager wo Gul ko 

pasand ker betha sub khushasloobi se howa Zindagi pursakoon guzer rahi thi .Beti Jadan maqasid per jan lutane wala banda tha .Wo kya karta tha us ne kabhi ziker nahi kya.wo btana nahi chahta tha mager koi raz zaroor tha shayad wahi raz us ke mot ka sbab bana " 

wo kuch der khamosh ho gaye phir bolna shroo kya

" jadan hmare walid ka buhat ladla tha un ke jiger Ka tukra ...

Ek din hmein khaber mili k hospital se wapsi per jadan aur Gul ka accident ho gaya ha jab hum wahan phnche to na wahan jadan tha na Gul sirf khoon tha Driver jo neem murda halat mein tha wo marne se phle faqt ye bata saka k ""unho ne khan ko mar dala....sath le gaye ...main nahi bacah saka ""us k baad wo Kuch bol na saka 

mujhe aj bhi yad ha mein ne akhri bar jadan ko ghar se nikalte howe dkha tha " Usman sahb ne rundhe howe lahje mein kaha

Hale pani le ker un k pas aa gae mager unho ne ishare se mana ker dya aur bolna jari rakha

" tmahre dada is sadme ke taab na la sake aur heart attack ke waja se dum tor gaye teen logo ke achank mot se main dahal gaya kuch samajh n aya k yu achanak kya howa.Us wqat se ab tak is ghar ke werani mujhe kat khane ko dorti ha main mujrim hon jo apne bhai ke hifazt na ker saka wo shahzada tha tha hmare khandan ka...

ahh Jadan ahh mere bhai tum kin kamon mein ulajh gaye 

Hale us ka qatal howa tha wo accident nahi tha main janta hon " 

un ke awaz kapne lagi thi 

" Baba .." wo beikhtiar agee barhi 

"pani pee lein"us ne glass un ke taraf barhaya 

" Baba ap ne is cheez ko jane ko dya pata to kya hota kon log thee wo ku mara unho ne aur sath ku le ker gaye ?" Hale ajeeb kafiyat ka shikar ho chuki thi

"Meri bacchi koi saboot baki na tha police bhi nakam rahi . khandani dushmani ke bina per sherazio per shak tha magar saboot un k khilaf nikle lakin meri nazar mein abhi bhi wo kahi na kahi mujrim zaroor hain.is lye is sab se door raho sherazi purane waqto ke dushmani ko apne ander pale howe hain.

khair mujhe tum logo ke hifazt se ghrz ha jadan ka mamla Allah ke sapurd ha sub raz us k sath he dafan ho gaye" 

Usman khanzada ne goya bat khtm karte howe kaha wo ab sambhal chuke thee

Hale bhi khamosh ho gae magar ghamo gusse ka ek tofan us k Ander barpa ho chuka tha.

Umer markazi dewan mein mojood tha wo agha jan ka intizar ker raha tha us k damagh mein socho ka tofan tha itne mein drwaza khula aur ek khoobro admi ander dakhil howa 

"Agha jan!..." umer muskrate howe agee barha 

Agha jan ne bazoo phelay wo un k seene se lag gaya 

" Mere jawan ..kya hal hain?." unho ne us ke kamer per thapki dete howe kaha 

"Main khairiat se hn ap theek hain ? " 

wo muskrate howe pooch raha tha 

" main theek hn per ab to hum boorhe ho gaye " unho ne kaha 

" aree Agha jan ap abhi bhi mzboot hain jase hnesha se thee ." umer ne kaha

"aaye..ap se bht see batain krni hain " umer ne kaha

" Main ne tmhari fatah ka suna ,fatah Mubarak ho bete " unho ne kaha

"shukriya agha jan"us ne jawab dya 

wo dono kmre mein rakhi maiz ke gird amne samne bathe thee 

" mager ab khtara barh gaya ha tum jante ho na bedar nami NGO ke aar mein darasal smuggling ka khel khela jata ha .Guzishta raat tabah hone wali factory un ka adda thi aur ab yawar sherazi us ka badla lene ke kosis kare ga " agha jan ne kaha

" g agha jan main bakhoobi wakif hn is se .

kal raat ek aur waqea bhi pesh aya . Khanzada hweli ke ek nojawan khatoon ko sherazio k paltoo ne roka Allah k fazal se hum ne madad ke un mein se do to jahanum wasil ho gaye mager ek bach nikla Nofil k mutabık ye sab ek tartib shuda mansooba tha ghalibun wo usse aghwa krne wale thee " umer ne btaya 

"Hmmm..to yani pe der pe shikast k baad wo zakhmi janwar ke trah hamla kare ga .Magar mujhe tum per bharosa ha Tum ne qasar yawar se wapas hasil ker k Berik ko izzat bakhshi " Agha jan ne kaha

" Agah main janta hon magar fatah hasil krne se zyada ahm us ko barkarar rakhna hota ha " Umer ne jawab dya

" Sahih kaha .yad rakho fatah hasil to talwar k zor per ke jati ha magar barkarar ilm k balboote per rakhi jati ha " unho ne kaha

umer ne asbat mein sirr hilaya

" Umer is smuggling aur in khufya giroho ke waja se shaher mein phelne wale intishar ko rokne ke zimmedari ab tmhare sapurd ha tum Berik k sarbarah ho main janta hon tum bhtt kabil ho mere bete" 

Agha jan ne kaha

" Agha ap ke tarbiyat ne mujhe is kabil bnaya .

chalye ap ko kuch maloomat dikhani hain " 

wo un ko lye khufya kmre ke janib chal para

Mosam khushgawar tha Hale balkoni mein khari thi Asiya wahan 

gamlo mein pani dal rahi thi Yasmin ke khushboo mun ko bhaa rahi thi sari hweli mein ye hale ke psandida jagah thi wo akele rehna chahti to yaha aya karti aj wo na jnae kaha khoe hoe thi k mulazma ne usse pukara 

us ke pukar per wo jase dunya mein waps ae 

"G..." us n kaha

" Bibi koi milne aya ha ap se khanm neeche bula rahi hain" us ne kaha

" Acha theek ha" hale ne jawab dya 

wo sochne lagi k kon ho skta ha 

Us ne halke asmani rang ka jora pahn rakha tha lambe siyah baal kamer per phele thee dupatta ek trf kandhe per phela howa tha kano mein sufed moti wo mosam ke trah khushgawar lag rahi thi .Wo khoobro andaz mein serhiya utarti

 lounge mein dakhil hoe magar apne samne mojood shakhs ko dekh ker wo ruk gae ..

( To be continued)