"Tum log yahan kya kar rahe ho?"
Us aadmi ki awaaz metal si thi-na poori insani, na puri lash. Uska haath hil raha tha, lekin aankhein... jaise kuch aur dekh rahi ho.
Zara peeche hati. "Tu hi hai Subject 11?" Woh hansa. Halki si cheekh jaisi hansi.
"Subject 11 sirf ek number hai," usne kaha.
"Mera asal naam tha... Faraz. Main pehle iss sheher ka doctor tha."
Ayan ne aankh taang kar dekha. "Toh tu in zombies ke beech zinda kaise hai?"
Faraz ne apna haath dikhaya—uski naso mein kuch greenish chakra jaisa fluid daud raha tha.
"Main virus se ladta nahi... usse mila hua hoon."
4 Ek mutation. Na zinda, na mara.
Faraz ne ek file Ayan ko di. "Yeh 'Rebirth
Protocol' ka asli data hai. Darrgarh ke neeche ek aur lab hai-Sector Zero. Jahan pehli experiment"Tum log yahan kya kar rahe ho?"
Us aadmi ki awaaz metal si thi-na poori insani, na puri lash. Uska haath hil raha tha, lekin aankhein... jaise kuch aur dekh rahi ho.
Zara peeche hati. "Tu hi hai Subject 11?" Woh hansa. Halki si cheekh jaisi hansi.
"Subject 11 sirf ek number hai," usne kaha.
"Mera asal naam tha... Faraz. Main pehle iss sheher ka doctor tha."
Ayan ne aankh taang kar dekha. "Toh tu in zombies ke beech zinda kaise hai?"
Faraz ne apna haath dikhaya—uski naso mein kuch greenish chakra jaisa fluid daud raha tha.
"Main virus se ladta nahi... usse mila hua hoon."
4 Ek mutation. Na zinda, na mara.
Faraz ne ek file Ayan ko di. "Yeh 'Rebirth
Protocol' ka asli data hai. Darrgarh ke neeche ek aur lab hai-Sector Zero. Jahan pehli experiment hua tha Zara ne file dekhi. "Yahan likha hai... 'Project Lazarus'-Bring back the elite. Matlab zombies banaye nahi gaye-they were soldiers."
Usi waqt - ek bhayanak dhamaka.
Poore lab ki lights blink karne lagi. Faraz ne cheekh kar kaha:
"They found us... RUN!"
Ek 7-foot-tall mutated zombie lab ke sheeshe ko todta hua andar aaya-haath mein ek giant claw aur peeth pe kuch metal implant jise power reactor bola ja sakta hai.
Ayan ne Zara ki taraf dekha. "Abbu, time hai action ka!"
Woh teenon ek emergency tunnel mein ghuse-lekin pichhe se aayi ek aur awaaz:
"Ayan... mujhe pehchana?"
Yeh koi aur tha. Aur yeh awaaz Ayan ne pehle suni thi...
Uske chhote bhai Kaif ki.
Lekin woh toh virus ke second wave mein gaya tha... ya shayad, ban gaya tha kuch aur.
THIS CHAPTER ENDS HERE HOPE YOU LIKE IT