Chapter 7-'Aarav Ki Sabse Bada Pariksha!"

(Scene: Raat ka andhera ghan ghanata ja raha hai. Jungle ekdum sannaate me dooba hai. Ek

taraf Rakhtavira khada hai-ek aise shikari ki tarah jo bas apne shikaar ko todne ka intezaar kar raha hai. Doosri taraf, Aarav-jo ab bhi dhool se bhara, haath me Kaala Agni ka ek tukda daba kar khada hai. Lekin ab uske andar ek naya gussa, ek jalti hui bhook dikh rahi hai.)

[Rakhtavira vs. Aarav - Shakti ka Mahasangram!]

Rakhtavira (halki hasi ke saath). "Bachpane ka gussa mat dikha, Aarav Sen. Tu sirf ek jalti hui chingari hai... aur main woh

andhkaar jo har roshni ko nigal jata hai.

(Woh apni laal aankhon se ek aisi energy wave nikalta hai jo poore jungle me ek tez tez cheekh ki tarah goonjti hai Anaya, jo ab bhi pathar bani hai, bas wahin ek statue ki tarah khadi hai.)

(Aarav ek kadam aage badhta hai. Uska sharir tez dhadak raha hai. Andar ek ajeeb si aag mehsoos ho rahi hai. Yeh gussa nahi tha, yeh darr bhi nahi tha... yeh kuch aur tha-jaise andar koi aur bhi jaaag raha ho!)

Aarav (andar hi andar):

"Main nahi jaanta yeh kya hai... lekin agar mujhe jeetna hai, toh mujhe ise apnana hoga!"

(Ek pal ke liye sab kuch ruk sa jata hai. Fir ek tez jwala nikalti hai Aarav ke sharir se! Yeh pehle jaisi kaali nahi thi-yeh ab neeli ho chuki

thil)

Rakhtavira (ek pal ke liye shock me): "Yeh kya...? Yeh Kaala Agni nahi hai... yeh toh Neel Agni hai!"

(Ek hi second me, Aarav ki aankhein ekdum

neeli chamak uthti hain. Uska haath jo ab tak Kaala Agni pakde hue tha, ab ek naya roop le chuka tha uski talwar ab dodhuk rahi thi, jaise ek vajra aur bijli ka sangam hol)

(Rakhtavira pehli baar peechhe hata hai, lekin Aarav ekdum gaayab ho jata hall)

Rakhtavira (andar hi andar): "Kya?! Yeh ladka itni speed se kaise hila?!"

(Ek dum se, ek tez bijli ka dhamaka hota hai, aur Aarav Rakhtavira ke peechhe aajata hai!)

Aarav (gusse se, ek dhamakedaar awaaz me): "Mujhe tujhse koi baat nahi kami sirf tujhe mitana hai!"

(Aarav ki nayi talwar ek bijli ki tarah chamakti

hai aur usse ek tez attack karta hai. Rakhtavira ek shield banata hai, lekin shield ek hi second

me tod di jaati hai! Rakhtavira hawa me uchal jata hai, lekin tabhi Aarav fir se attack karta hail)

(Do bade warriors ek dusre se takra rahe hain! Ek taraf Rakhtavira ka andhkaar, jo sirf todna jaanta hai... aur doosri taraf Aarav ki Neel Agni, jo naye roop me pehli baar apna asli roop dikhane ko tayyar hail)

(Dono warriors tez gati se lad rahe hain. Ek ek

attack itna bhayankar hai ki poora jungle hil raha hai. Dharti fat rahi hai, hawa garm ho chuki hai, aur aasman me ek bada energy

storm badhne laga hai)

(Lekin phir... ek bahut tez dhamaka hota hai!)

(Sab kuch ekdum ruk sa jata hai. Dhool hawa me ud rahi hai. Rakhtavira zameen pe gira pada hai-uske sharir se kaala dhuaan nikal raha hai. Aarav ab bhi khada hai, lekin uska

sharir bhi thakavat se jujh raha hai.)

(Aur tabhi...)

(Anaya ka pathar bana sharir dheere dheere pighaine lagta hail)

Aarav (andar hi andar, aankhon me umeed): "Anaya wapas aa rahi hai!"

(Ek dum se, Rakhtavira zor se cheekhta hai. Uska sharir dheere dheere dhuaan banne lagta

hai)

Rakhtavira (halki hasi ke saath).

"Tu soch raha hai ki tune mujhe hara diya? Nahi, Aarav... yeh sirf shuruvaat thi... sirf ek shuruvaat...

(Uska sharir poora dhusan me badal jata hai, aur dheere dheere ud jata hai! Rakhtavira gayab ho chuka hai?)

(Aarav neeche girta hai, uski talwar ab bhi

haath me hai, lekin uske sharir me zakhm lag chuke hain. Anaya dheere dheere normal hone lagti hai. Uski aankhein dheere se khulti hain.)

Anaya (thakavat me)

"Aarav... tu jeet gaya?"

(Aarav halki hasi deta hai, lekin uske dil me ab bhi ek ajeeb si bechaini hai.)

(Usne Rakhtavira ko hara diya... lekin yeh ant nahi tha. Kahin na kahin, uske dil me ek ajeeb sa dar baith raha tha jaise asli yudh abhi

baaki ho.)

[Kahin Door - Rudra Samaell

(Ek pahaadi ke upar, Rudra Samael khada hai.

Uske saamne ek bada puraana manchitra pada hai-jo Shakti Seals ka secret dikhata hai)

Rudra Samael (halki hasi ke saath): "Toh tumne Rakhtavira se mukabla jeet liya?

Hmph... lekin Aarav Sen, ab tu sabse badi ladaai ke ek kadam aur paas aa gaya hai."

(Uska haath ek chhati seal par jata hai. Waha

ek naam likha hai "Yama-Shakti". Ek aisi shakti, jo sirf mrityu devta ke saath judi hai.)

Rudra Samael (halki awaaz me)

"Ab tu tayyar ho gaya hai, Aarav... Yama-Shakti ki talash shuru kame ke liye."

(Aasman me bijli chamakti hai. Sab kuch andhkaar me doob jata hai)