Chapter 8- "Yama-Shakti Ki Talaash!"

(Scene: Ek purana Himalayi gaon. Barf se

dhaka hua, lekin hawa me ek ajeeb sa bhaar hai Gaon ke log dar se chup hain, jaise koi shakti yaha pe chhupi ho. Beech me ek bada mandir hai, jo hazaron saalon se band hai. Usi

mandir ki taraf Aarav aur Anaya ja rahe hain, ek naye mission par-Yama-Shakti ki talaash!)

[Yama-Shakti Ka Rahasya)

Anaya (halki awaaz me):

"Aarav... mujhe yeh jagah achi nahi lag rahi. Yaha kuch toh gaibad hai"

Aarav (aage badhte hue):

"Mujhe pata hai, Anaya... lekin agar hume Shakti Seals ko todna hai, toh hume Yama-Shakti tak pahunchna hoga."

(Jaise hi dono mandir ke samne pahuchte hain, ek tez hawa ka jhonka aata hai. Barf udti hai, aur ek bade dwar ka lock apne aap khul jata hai! Anaya peeche hati hai, lekin Aarav bina dare andar chala jata hai.)

(Mandir ke andar ek bada samadhi sthal hai, Pure mandir ki deewarein purani shiokon se bhari hain, aur beech me ek bada Yama Dev ka murti hai. Lekin tabhi... murti hilne lagti hail)

Anaya (shock me): "Aarav... woh murti.., woh jeevit ho rahi hail"

(Ek dum se, poora mandir hilne lagta hai. Murti se ek tez energy nikalti hai, aur dheere dheere ek aakar banta hai-ek bhoot jaisa purush, jo laal aankhon se dono ko ghoor raha hai.)

???

"Tum log yaha kyun aaye ho? Yama-Shakti jeeviton ke liye nahi hai!"

(Aarav aur Anaya ek pal ke liye rukh jate hain. Yeh kaun tha? Kya yeh Yama Dev ka pratinidhi tha, ya fir koi shakti jo sirf rakhwali kar rahi

thi?)

Aarav (sahasi awaaz me): "Mujhe Yama-Shakti chahiyel Yeh sirf mrityu ki shakti nahi yeh pura jag jeetne ki shakti hai!"

(Ek dum se, woh aatma jor se cheekhta hail Pura mandir ekdun kaanp jata hai. Deewaron se hazaron haath nikalne lagte hain, jaise ek bhootiya jahannum khul chuka hol)

"Agar Yama-Shakti chahiye... toh pehle Mrityu-Pareeksha paar karo!"

(Ek tez roshni failti hai, aur sab kuch andhkaar me doob jata hail Aarav aur Anaya ek ajeeb jagah pe pahuch jaate hain-jaha na zameen hai, na aasman.... sirf ek shunyata hai!)

[Mrityu-Pareeksha Shuru!!

(Aarav apni aankhein kholta hai, Woh ab ek vajra yuddh ke maidan me khada hai. Lekin saamne jo khada hai, use dekhkar uska chehra ekdum safed ho jata hai.)

Aarav (shock me, dheere se):

"Yeh... yeh toh Maa-Baba hain...!"

(Samne uske maata-pita khade hain-jo 10 saal pehle mar chuke the! Unka chehra vaise hi shant aur pyaar bhara hai. Lekin unke haath me

talwaren hain!)

Aarav ki Maa (pyar se):

"Beta... agar tujhe Yama-Shakti chahiye, toh tujhe hume harana hoga!"

(Aarav ka dil ek pal ke liye ruk sa jata hai. Uske

apne mata-pita... jo uski sabse badi taqat the, aaj uske samne dushman banke khade hainl Kya woh lad payega? Kya woh unpar talwar utha payega?)

(Dheere dheere uske maa-baba aage badhne lagte hain. Aarav ki talwar kaanp rahi hai. Uska dil cheekh raha hai-lekin tabhi uske andar ek awaaz gunjti hal.)

777

"Mrityu se darr mat... use apna bana!"

(Ek pal me, Aarav ki neeli aag phir jal uthti hai! Lekin is baar, yeh ek naya roop le chuki thi-Neel Yama-Agnil Aarav ki aankhein ekdum

safed ho gayi thi, aur uska sharir ek

dharm-yoddha jaisa lag raha tha)

(Usne apni talwar zor se uthai, aur maa-baba ki taraf tez daud gaya!)

[Anaya Ki Pareeksha]

(Doosri taraf, Anaya bhi ek alag jagah par thi-ek paheli bhari bhool-bhulaiya! Har taraf sitaron ka asmaan dikh raha tha, lekin uske samne ek laal aankhon wali ladki khadi thi

Wahi uski chhoti behen, Riya... jo bachpan me mar gayi thi)

Anaya (shock me):

"Riya?! Nahi yeh kaise ho sakta hai tu tch... tu toh...!"

(Riya ki aankhein ekdun laal ho jati hain, aur woh tez awaz me cheekhti hai-)

Riya (gusse se)

"Didil Tu mujhe kyun nahi bacha payi?!!"

(Ek dum se, Anaya ke aasu girne lagte hain.

Uska dil phatne lagta hai. Uske saamne jo

khadi thi, woh uski chhoti behen thi, jo sirf pyaar chahti thi... jo sirf jeena chahti thi!)

(Kya Anaya is dukh se lad sakegi? Kya woh Mrityu-Pareeksha paar kar sakegi?)

Pareeksha Ka Ant?

(Aarav aur Anaya dono apne apne dukh se lad

rahe the. Ek taraf Aarav, jo apne maa-baba ki

talwaron ke saamne khada tha. Dusri taraf

Anaya, jo apni chhoti behen ki aankhon me nafrat dekh rahi thi. Yeh sirf ek ladaai nahi thi-yeh ek pareeksha thil)

(Mrityu-Shakti sirf unhe milegi jo mrityu ka sach samajh sakein. Kya Aarav aur Anaya jeet

payenge? Kya woh Yarma-Shakti ka raaz jaan payenge? Ya fir woh bhi iss pareeksha me haar jayenge?)